Maa Mera Qasoor Nahi Tha

Maa Mera Qasoor Nahi Tha
Ek Uncle Se Toffee Li Thi

Hath Mere Jo Sar Par Phera
Mai Samjhi Insan Hi Hoga

Uski Bhi Koi Beti Hogi
Shyad Mere Jaisi Hogi

Mujhko Ghar Se Door Le Aya
Usne Achanak Lehja Badla

Moo Mera Jo band Kiya To
Phir Mujhe Kuch Maloom Nahi Tha

Maa Mera Qasoor Nahi Tha
Ek Uncle Se Toffee Li Thi

Sumandar Mein Utarta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain

Sumandar Mein Utarta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain
Teri Aankhon Ko Parhta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain

Tumhara Naam Likhne Ki Ijazat Chhin Gayi Jab Se
Koi Bhi Lafz Likhta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain

Teri Yaadon Ki Khushbu Khirkiyon Mein Raqs Karti hay
Tere Gham Mein Sulagta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain

Main Hans K Jheel Leta Hoon Judai Ki Sabhi Rasmein
Gale Jab Uss K Lagta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain

Na Jane Ho Gaya Hoon Iss Qadar Hassas Main Kab Se
Kisi Se Baat Karta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain

Wo Sub Guzre Hue Lamhat Mujh Ko Yaad Aate Hain
Tumhare Khat Jo Parhta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain

Main Saara Din Bahot Masroof Rehta Hoon Magar Junhi
Qadam Choukhat Pe Rakhta Hoon Tou aankhen Bheeg Jaati Hain

Bare Logon K Oonche Badnuma Aur Sard Mahlon Ko
Ghareeb Aankhon Se Takta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain



Tere Kooche Se Ab Mera Ta’alluq Wajbi Sa Hay
Magar Jab Bhi Guzarta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain

Hazaron Mausamon Ki Hukmarani Hay Mere Dil Per
Wasi Main Jab Bhi Hansta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain

Sad Poetry


Sad Poetry, Urdu Poetry, Sad Poetry In Urdu, Urdu Sad Poetry, HD Poetry, Hassan Poetry

Sad Poetry, Urdu Poetry, Sad Poetry In Urdu, Urdu Sad Poetry, HD Poetry, Hassan Poetry

Sad Poetry, Urdu Poetry, Sad Poetry In Urdu, Urdu Sad Poetry, HD Poetry, Hassan Poetry

Sad Poetry, Urdu Poetry, Sad Poetry In Urdu, Urdu Sad Poetry, HD Poetry, Hassan Poetry

Sad Poetry, Urdu Poetry, Sad Poetry In Urdu, Urdu Sad Poetry, HD Poetry, Hassan Poetry



Liked our all these Sad Poetry in Urdu 2 Lines for your love. Don’t forget to share this Post on all your social networks site’s Like Facebook, Whatsapp, Tumblr, So how was this post for Sad   Poetry in Urdu 2 Lines pictures? Tell us by comments if you have any suggestion or question you can ask in the comments form below. Thanks for reading our this post about Most Sad Poetry in Urdu 2 Lines

Urdu Poetry 2018

Latest urdu poetry 2018 pics
urdu poetry about love 2018, latest 2018 urdu poetry with hd images, love urdu poetry 2018, sad urdu poetry 2018, sad urdu poetry 2018 with heart touching pics, download free urdu poetry wallpapers, latest 2018 design new urdu poetry, urdu poetry for lovers.




latest love urdu poetry 2018, sad love urdu poetry pics, new 2018 urdu poetry images.

Tere Honton Pe Apna Naam Kab Chaha Tha Hum Ne



Tere Honton Pe Apna Naam Kab Chaha Tha Hum Ne
Har Morr Pe Tera Salam Kab Chaha Tha Hum Ne

Mai To Bas Zubaan Deta Hon Bezubanon Ko Apni Tehreer Mai
Ehel e Zoq Mai Apna Muqaam Kab Chaha Tha Hum Ne 

Aya Tha Ke Luta Sakon Tujhko tohfay Tere
Apni Wafaon Ka Daam Kab Chaha Tha Hum Ne 

Har Taraf Se Khud Ko Hi Qasoor Waar Banaya
Tujh Par Lage Koi Ilzaam Kab Chaha Tha Hum N