Mujhe manzoor hai apni wafa k haar bhi janaan

Mujhe manzoor hai apni wafa k haar bhi janaan 
Tera aankhon se ojhal pun teri mehkaar bhi janaan 

Seraat-e-hijar pe chalna muqadar hi mera thehra 
Milan k ab nazar aate nehi asaar bhi janaan 

Barra khamoshyon ka shor hai atraaf mein mere 
Bohat hoti hai un se ab meri takraar bhi janaan 

Kuch likhta hon agar main deeda-o-dil se tumharay naam 
Ajab lagte hain zakhmi se meray ashaar bhi janaan 

Chura laaya hon khushboo main tumharay lums k Kuch to 
Khilay rehtay hain her jaanib gul-o-gulzaar bhi janaan 

Tuwater se hi aatay hain teray paighaam hawaon mein 
Magar dil ko to chahiye ab thora aitebaar bhi janaan 

Mohabbat se nahi inkaar mujh ko ab talak lekin 
Tarasta hoon main sun'nay ko teri pukaar bhi janaan 

Humaray ghar k deewaron mein Kuch khaami to baaqi thi 
Hawaaon se kab girti hai koi deewar bhi janaan 

Zikar karta hai tera khud se jab bhi aaj kal shaukat 
Gulon k saath rote hain ab to khaar bhi janaan

Comments
0 Blogger Comments