Ye meri ghazlen ye meri nazmen
Tamam teri hikayaten hain
Ye tazkare tere lutf ke hain
Ye shair teri shikayaten hain
Mujhe khabar thi keh tere aanchal main
Dard ki rait chanta hun
Magar har ik baar tujh ko chu kar
Ye rait rang-e-hina bani hai
Aur ab ye sari mata-e-hasti
Ye phool ye zakhm sab tere hain
Ye dukh ke nohay ye sunk ke naghme
Jo kal mere the wo ab tere hain
Jo teri qurbat teri judai
Main kat gaye roz-o-shab tere hain
Wo jis ke andaz khusarwana the
Aur adaain ghalib si theen
Wo kohkan to nahin tha lekin
Kari chatanon se larh chuka hai
Wo thak chukka tha aur us ka tesha
Ussi ke seenay main garh chuka hai