Showing posts with label ISHQ Poetry. Show all posts
Showing posts with label ISHQ Poetry. Show all posts

Udaas Shaamo'n Mai Lot Kar Wo Aana Bhool Jati Thi


Udaas Shaamo'n Mai Lot Kar Wo Aana Bhool Jati Thi
Kar ke Khafa Mujh Ko Manaana Bhool Jati Thi

Inhi Khaslato'n Ne Uski Mujhe Badnaam Kar Dala
Wo Likh k Naam Dewaaro'n Pe Mitaana Bhool Jati Thi

Mat Pooch Muhabbat Mai La-Parwahi uski
Day K Zakham Wo Marham Lagaana Bhool Jati Thi

Kitna Dil Nasheen Hota Tha Uski Yaad Ka Manzar
Wo Jab Bhi Yaad Aata Tha, Zamaana Bhool Jati Thi

Tum Kya Gaye Zindagi Le Gaye

Tum Kya Gaye Zindagi Le Gaye

Rang Mere Khwaabon Ka Har Khushi Le Gaye

 

De Gaye Ik Kasak Jagaane Ko Raat Bhar.

Mere Woh Muskuraana Woh Hansi Le Gaye

 

Bujh Gayee Aankhen Ghul Gayaa Andheraa.

Jaate Jaate Chiraaghon Se Roshni Le Gaye

 

Le Gaye Mere Rangon Se Khushboo Ki Rooh .

Meri Jabeen Se Zeest Ki Lakeearin Le Gaye

 

Main Baithaa Rahaa Saawan Ki Chaah Main

Youn Mere Chashm E Tarr Se Nami Le Gaye.

 

Youn Beeta Meri Jaan Teri Furqat Ka Zamaana

Mere Lamhon Se Waqt Ki Jumbish Le Gaye

Usy Kaho meri Saza mein Kuch kami kar dy"

Usy Kaho meri Saza mein Kuch kami kar dy"

"Kisi ko tot k chahna koi Jurm to nahi"

 

"Q deta hai wo har bat pay dukh"

"Mery Pehlo me B Dil hy koi Pathr to nahi..

Hum ne har dukh ko Mohabbat ka tasalsul samjha

Hum ne har dukh ko Mohabbat ka tasalsul samjha

Hum koi tum thy k duniya se shikayat krty..

 

Hum ne sookhi hui shakhon pe Lahu chirka hy

Phool agar ab b na khilty to qayamat krty..

 

Ki Mohabbat to siyasat ka chalan chor diya

Hum agar Ishq na krty to Hakumat krty...

Chor di teri duniya teri khushi ke liye

Chor  di teri duniya teri khushi ke liye

 

Jee saken gay na ab hum kisi ke liye

 

Tera milna aur bicharna eak khawab tha

 

Teri chahat to thi dil lagi ke liye 

 

Mery aangan me har su andhera raha

 

Charagh dhonda bohat roshni ke liye

 

Apni qismat me ashkon ki soghat thi

 

Hum tarasty rahe eak hansi ke liye

 

Teri judai se barh kar kya gham hoga

 

Zakham kafi hain yehi zindagi ke liye...

Sitara jb khbi Toota usy Hum YAAD AYENGE"

Sitara jb khbi Toota usy Hum YAAD AYENGE"

Kisi Se Sath Jb Chhoota

"USY Hum YAAD AYENGE" 

 

Abi To Urr Raha Hai Wo Nayi Chahat K Par Le Kr,

Jo Uska Par Kbi Toota.

"USY Hum YAAD AYENGE" 

 

Usy Jis Pr Yaqeen Hai Aaj Emaan Ki Had tak,

Wohi Nkla Jo Kal Jhoota.

"USY Hum YAAD AYENGE" 

 

Us K Ashk PaLkon Se Chuney Ga Kon Phir Jane

Kisi Se Wo Kbi Rootha 

 

"USY HM YAD AYENGE"

Mohabat K Safr Me Hr Koi MukhLis Nhi MiLta 

 

Kisi Rahzan Ne Jb Loota

"USE Hm YAD AYENGE.

Tanha Mausam Hai Aur Udaas Raat Hai.

Tanha Mausam Hai Aur Udaas Raat Hai..

Wo Mil Ke Bichaar Gaye Ye Kaisi Mulaqaat Hai.

.

Dil Dharak To Raha Hai Lekin Awaaz Nahi Hai..

Wo Dharkan Bhi Le Gaye Kitni Ajeeb Baat Hai.

Chahat ki Be-Basi Ka Qissa Hai Mukhtasar.

Chahat ki Be-Basi Ka Qissa Hai Mukhtasar...!! 

Dil Ne Sakoon Na Paaya Kabhi DiL-Lagi K Baad..

 

hum ujar k basay hain bari mushkil se..!

tum door he rho tou nawazish ho gi.

 

Tujh ko nahi Ehsaas k Ae Dil Teri khaatir.....

Ek Shakhs baray Kaam ka ..Be- kaar Hua Hai.

Hum sazaon k haqdar baney hain kab se

Hum sazaon k haqdar baney hain kab se.?

Tum hi kah do kya jurm hai pyar karna.? 

 

Teri furqat main ye ankhain ab tak nam hain,

Kabhi aana meray ashkon ki zyarat karna, 

 

Dil main ab bhi hain pyar k diye roshan,

Dekh bholay nahi hum teri hasti ki ibadat karna!

Chor di teri duniya teri khushi ke liye

Chor  di teri duniya teri khushi ke liye

 

Jee saken gay na ab hum kisi ke liye

 

Tera milna aur bicharna eak khawab tha

 

Teri chahat to thi dil lagi ke liye 

 

Mery aangan me har su andhera raha

 

Charagh dhonda bohat roshni ke liye

 

Apni qismat me ashkon ki soghat thi

 

Hum tarasty rahe eak hansi ke liye

 

Teri judai se barh kar kya gham hoga

 

Zakham kafi hain yehi zindagi ke liye...

Ho rat akeli sundar si,

Ho rat akeli sundar si,

.

Or chand angan me a jaye,

.

Tm chand ki manind tanha ho,

.

Ye bat tmhen tarpa jaye,

.

Kch khwab saja kr palkon pe,

.

Tm chand se baten kr lena,

.

Hm yad tmhen hi krte hen,

.

Tm yad hmen b kr lena!

.

     !SUN0!

.

Kch bat na ho jb ese me,

.

Num ankh tmhari ho jaye,

.

Tm baat kahin pe karte ho,

.

Dil or kahin pe kho jaye,

.

Jazbat k ese aalam me,

.

Muskaan labon pr bhar lena,

.

Hm yad tmhen hi krte hen,

.

Tm yad hmen b kr lena...

Hum sazaon k haqdar baney hain kab se

Hum sazaon k haqdar baney hain kab se.?

Tum hi kah do kya jurm hai pyar karna.? 

Teri furqat main ye ankhain ab tak nam hain,

Kabhi aana meray ashkon ki zyarat karna, 

Dil main ab bhi hain pyar k diye roshan,

Dekh bholay nahi hum teri hasti ki ibadat karna!

Chahat ki Be-Basi Ka Qissa Hai Mukhtasar.

Chahat ki Be-Basi Ka Qissa Hai Mukhtasar...!! 

Dil Ne Sakoon Na Paaya Kabhi DiL-Lagi K Baad..

 

hum ujar k basay hain bari mushkil se..!

tum door he rho tou nawazish ho gi.

 

Tujh ko nahi Ehsaas k Ae Dil Teri khaatir.....

Ek Shakhs baray Kaam ka ..Be- kaar Hua Hai.

Hathon ki Lakeeron pe

Hathon ki Lakeeron pe..

guftugo jab chal nikli..

Tab udas Lehjay mein

Mainy us se ye kaha,

Nazar mujhko nahi aata..

Tumhara Naam bilkul bhi..

In uljhi Lakeeron mein..

Tab palat k wo Bola...

Lakeeren jhoot hoti hain..

Tumhary Sath hoon Main To..

Tumhare paas hoon Main to..

Zaruri to nahi hota..

muqaddar ho Lakeeron mein..

Ye Be'wafa Lakeeren hain..

Lakeeren bus Lakeeren hain..,

Aitbar mat krna..

Be'wafa Lakeeron par..

Magr wo jhoot kehta tha..

Natija ye k uska Sath..

Nahi baqi raha 

Lekin..

Lakeeren Ab Bhi Baqi Hain.

Haseen Manzar, VO Gehry Badal,

Haseen Manzar,

VO Gehry Badal,

VO ChalnAa Tera

Bi Saath Mery..>

"+,,

VO Mery HathOn

Mein Haath Dena

VO Din Muhabbat

K Yaad Hain Kia..>

"+,,

VO Pani Mujh Py

Undail Denaaa, 

VO Khil'Khilana

VO Subah Sawery,

Sharaarten Bhi

VO Saari Jaana'n

VO Din Muhabbat

K Yaad Hain Kia..>

"+,,

VO Thal Ki Aandhi Py Ghussa Aanaa,

Urraa Urraa Sa VO

Rang Teraa,

VO Meraa Tujjh

Py Mazaq Karnaa,

VO Din Muhabbat

K Yaad Hain Kia..>

"+,,

Haath Pakrry

Nikalna Ghar Say

VO Aadhi Ratein

Guzaar Denaa,

VO Ounchy Teele

VO Chand Ratein,

VO Din Muhabbat

K Yaad Hain Kia..>

"+,,

Ye Teraa Mohsin

Wafaa Ka Paikar,

VO Saary Waady

Bhulaa Na Denaa,

VO Piyari Rasmen

VO Piyary Sapny

VO Din Muhabbat

K Yaad Hain

Kia...................->

Wo Aam C Shaam Thi Jab Juda Huwe Hum


Wo Aam C Shaam Thi Jab Juda Huwe Hum...!

 

Na Toot k Pyar Kiya, Na Ro Sake Hum...!

 

Woh Bhi Din The Ke Ro0z Baat Karte The...!

 

Yeh Bhi Din Hain Ke Aawaz Ko Taras Gaye Hum...!

 

Shikwa Ye Nahi Ke Bewafa Niklay Tum...!

 

Shikwa Ye Hai ke Teri Nazar Me Bewafa The Hum..

Ae waqt zara to tham ja

Ae waqt zara to tham ja, Mujhe yaad "KISI" ko krne de,

 

Mujhe "piyar" hai ik "SUNG DIL" se, Jo koi "BAAT" mujhay na karne de,

 

Na apne "PASS" wo aany de, Na khud se "DOOR" wo jany de,

 

Na "DIL" ko apne pass rakhy, Na aur kisi ka "HONY" de,

 

Hr waqt mujhe "WO" yaad aaye, Phir "DIL" se ik aawaz aaye,

 

Ye kaisi "CHAHAT" hai us ki, Jo "JEENY" de na "MARNY" dy..!!!!

Muhabbat mein wafaadaari se bachiye


Muhabbat mein wafaadaari se bachiye

JahaaN tak ho adaakaari se bachiye

Har ek soorat bhali lagti hai kuchh din

Lahoo ki sho’bdaa-kaari se bachiye

Sharaafat, aadmiyat, dard – mandi !!

BaRe shahroN mein bimaari se bachiye

Zaroori kya har ek mehfil mein aana

Takalluf ki rawaadaari se bachiye

Bina pairoN ke sar chalte nahi hain

BuzurgoN ki samajhdaari se bachiye