Iss Basti ke Ik koochey mein , Ik Inshah Naam ka Deewana.


Iss Basti ke Ik koochey mein ,
Ik Inshah Naam ka Deewana.

Ik naar pe jaan ko Har gaya ,

Mash'hoor hai uss ka afsaana.

Ab Tujh Say Kis Moonh Say Keh Dain 7 Samandar Paar Na Jaa…



Ab Tujh Say Kis Moonh Say Keh Dain 7
Samandar Paar Na Jaa…

Beech Ki Ik Deewaar Bhi Hum To Phaand Na



Paye, Dhaa Na Sakay

Wafa Ho Kar Jafa Ho Kar Haaya Ho Ho Kar Adaa Ho Kar,



Wafa Ho Kar Jafa Ho Kar Haaya Ho Ho Kar Adaa Ho Kar,
Samaye Wo Mere Dil Main Nahi Maloom Kya Ho Kar.*
.
Mera Kahna Yahi Hai Tu Na Rukhsat Ho Khafa Ho Kar,
Ab Agay Teri Marzi Jo Bhi Tera Mud'da Ho Kar.*
.
Na Wo Mehfil Na Wo Saqi Na Wo Sager Na Wo Bada,
Hamari Zindagi Ab Reh Gai Hai Bay Maza Ho Kar
.
MA'AAZ-ALLAH Ye Alam But'ton Ki Khud Numai Ka,
K Jaise Chaa Hi Jayaingay Khudai Par Khuda Ho Kar.*
.
Bahr Sorat Wo Dil Walon Say Dil Ko Cheen Lete Hai,
Machal Kar, Muskura Kar, Roth Kar, Tun Kar Khafa Ho Kar.*
.
Na Choro Sath Mera Hijar Ki Shab Dobty  Taaro,.
Na Phairo Mujh Sy Yun Ankhain Mere Ghum Ashna Ho Kar.*
.
Inhain Phr Kon Janchay Kon Tolay Ga Nigahon Main,
Agar Kantay Rahain Gulshan Main Pholon Say Juda Ho Kar.*
.
Mere Dil Nay Haseeno Main Maze Lotay Muhabt K,



Kabhi Is Par Fida Ho Kar Kabhi Us Par Fida ho kar

Mujh ko mayoosion ki daldal men,



Mujh ko mayoosion ki daldal men,




Tum ne jeene ka hosla bakhsha.

Zindagani Ka Sabak lay Phool Say,



Zindagani Ka Sabak lay Phool Say,


Daikh Uski Ibtada-o-Inteha.

Aesa lagta hai zindgii tum ho



Aesa lagta hai zindgii tum ho
Ajnabi jaisey ajnabi tum ho

Ab koi aarzu nahin baaqi
Justuju meri aaKhri tum ho

Main zameen par ghana andhera hoon
Aasmanoun ki chandni tum ho

Doston se wafa ki ummidain



Kis zamaney k aadami tum ho

Tuu rahegaa na tere zulm rahenge baaqii…


Tu rahegaa na tere zulm rahenge baaqi…


Din to aanaa hai kisi roz hisaabon vaalaa…