Showing posts with label Muhabbat Poetry. Show all posts
Showing posts with label Muhabbat Poetry. Show all posts

Woh Chup Rehta Tha Magar Nighahain Bolti Thi



Wo Chup Rehta Tha Magar Nigahain Bolti Thi,


Kuch Chehre Khamosh Reh Kar Bhi "Dil" Jeet Jate Hain...!!!

Love Romantic Hindi Ghazal Mujhe Acha Sa Lagta Hai


Mujhe Acha Sa Lagta Hai
Tumhi Ko Dekhte Rehna

Tumhi Ko Chahte Rehna
Tumhi Ko Sochte Rehna

Tumhi Ko Sunte Rehna
Bohot Gehre Khyaalo Me

Jawabo Me Sawalo Me
Mohabbat Ke Hawalo Me

Tumhara Naam Aa Jana
Mujhe Acha Sa Lagta Hai

Tumhare Sang Sang Chalna
Wafa Ke Aag Me Jalna

Tumhe Naraz Kar Dena
Kabhi Khud Bhi Ruth Jana

Tumhari Berukhi Pe Bhi
Tumhari Aarzoo Karna

Khud Apne Dil Dhadkan Se
Tumhari Guftugu Karna




Mujhe Acha Sa Lagta Hai...!!!

Judai Shayari Hindi SMS Ek Arse Baad Mile To Mera Naam Puchh Liya Usne


Ek Arse Baad Mile To Mera Naam Puchh Liya Usne,




Bichhadte Waqat Jisne Kaha Tha "Tumhari Bahut Yaad Aayegi...!!!

Sad Urdu Love Ghazal Jub Tasawwur Mera Chhupkay Se Tujhe Chhuu Aaye


Jub tasawwur mera chhupkay se tujhe chhuu aaye
Apni har saans se mujh ko teri khushbuu aaye,

Mashgala ab hai mera chaand ko taktay rehna
Raat bhar chain na mujh ko kisi pehluu aaye,

Jub kabhi gardish-e-doura­an ne sataaya mujh ko
Meri jaanib tere phailay hooway bazoo aaye,

Jub bhi socha ke shab-e-hijr na hogi roshan
Mujh ko samjhanay teri yaad ke jugnuu aaye,

Mujh se milnay ko sar-e-shaam koi saaya sa
Tere aangan se chalay aur lab-e-juu aaye,

Os ke lehjay ka asar tou hai badi baat "Qateel"

Wo tou aankhon se bhi karta hoowa jadoo aaye...!!!

Judai Urdu Shayari Mat DOOR Jana Hum Sy Kabhi Itna


Mat "DOOR" Jana Hum Sy Kabhi Itna
Ke "WAQAT" Ke "FAISLAY" Py "AFSOOS" Ho,


Kya Pata phir Kabi Tum Lot K Aao aur
"HUM" mitti main "KHAMOSH" Hon...!!!

Sad Death Urdu Ghazals Shayari Chahay Jitna Bulaao Gay Wapas Na Aaon Gi Main



Chahay jitna bulaao gay wapas na aaon gi main
Aasmaan ki banhoon mai sama jaaon gi main,

Dekhna younhi hanstay khailte younhi muskuratay hooye

Kisi rooz chup chaap si chali jaaon gi main,

Na jaane mujhe yaad keray gaa bhe koi ke nahin
Na maloom kisi ko yaad aaon ke na yad aaon gi main,

Shayad ke hoo jaye meray liye bhe koi aankh pur num
Shayad kisi ko ashkoon ka tuhfa day jaaon gi main,

Boohat tadpi hoon mai sab ke kareeb reh reh kay
Ab door jaa ke sab ko tadpaaon gi main,

Zara zara si baat pe ye rooth jaata hay mujh se
Dekhna kisi rooz zindage se rooth jaaon gi main...!!!