Showing posts with label Romantic Ghazals. Show all posts
Showing posts with label Romantic Ghazals. Show all posts

Love Romantic Hindi Ghazal Mujhe Acha Sa Lagta Hai


Mujhe Acha Sa Lagta Hai
Tumhi Ko Dekhte Rehna

Tumhi Ko Chahte Rehna
Tumhi Ko Sochte Rehna

Tumhi Ko Sunte Rehna
Bohot Gehre Khyaalo Me

Jawabo Me Sawalo Me
Mohabbat Ke Hawalo Me

Tumhara Naam Aa Jana
Mujhe Acha Sa Lagta Hai

Tumhare Sang Sang Chalna
Wafa Ke Aag Me Jalna

Tumhe Naraz Kar Dena
Kabhi Khud Bhi Ruth Jana

Tumhari Berukhi Pe Bhi
Tumhari Aarzoo Karna

Khud Apne Dil Dhadkan Se
Tumhari Guftugu Karna




Mujhe Acha Sa Lagta Hai...!!!

Urdu Izhar Romantic Shayari Ghazal Nigah-e-Ishq Nay Jab Poocha Unke Dil Se


Nigah-e-ishq nay, jab poocha unke dil se
Kya tum bhi mujhe, itna hi chahtay ho,

To unkay chehray ki rangat
Ik sawaal kay kai jawaab ban gai,

Unkay jhukay nain, kai afsaane bayaan kar gaye
Unkay laraztay honth, mohabbat ki kahani ban gaya,

Muskurahat unki, beshumaar diyae, jalaa gayee
Aur Nazre Chuarna unka, Ranza ki kahaani sunaa gaya...!!!