Showing posts with label Muhabbat Ghazals. Show all posts
Showing posts with label Muhabbat Ghazals. Show all posts

Sad Urdu Love Ghazal Jub Tasawwur Mera Chhupkay Se Tujhe Chhuu Aaye


Jub tasawwur mera chhupkay se tujhe chhuu aaye
Apni har saans se mujh ko teri khushbuu aaye,

Mashgala ab hai mera chaand ko taktay rehna
Raat bhar chain na mujh ko kisi pehluu aaye,

Jub kabhi gardish-e-doura­an ne sataaya mujh ko
Meri jaanib tere phailay hooway bazoo aaye,

Jub bhi socha ke shab-e-hijr na hogi roshan
Mujh ko samjhanay teri yaad ke jugnuu aaye,

Mujh se milnay ko sar-e-shaam koi saaya sa
Tere aangan se chalay aur lab-e-juu aaye,

Os ke lehjay ka asar tou hai badi baat "Qateel"

Wo tou aankhon se bhi karta hoowa jadoo aaye...!!!

Urdu Izhar Romantic Shayari Ghazal Nigah-e-Ishq Nay Jab Poocha Unke Dil Se


Nigah-e-ishq nay, jab poocha unke dil se
Kya tum bhi mujhe, itna hi chahtay ho,

To unkay chehray ki rangat
Ik sawaal kay kai jawaab ban gai,

Unkay jhukay nain, kai afsaane bayaan kar gaye
Unkay laraztay honth, mohabbat ki kahani ban gaya,

Muskurahat unki, beshumaar diyae, jalaa gayee
Aur Nazre Chuarna unka, Ranza ki kahaani sunaa gaya...!!!