Ye Ishaq Ka Rog Jata Nahi Qasam Ly Lo..

Ye Ishaq Ka Rog Jata Nahi Qasam Ly Lo..

galy main dal kr sary taweez dekhy hain...

Abi urooj pr hai tmhara mosam.

Abi urooj pr hai tmhara mosam.
Khizan mein tm ko khareed lein gy.

Bano ge hmse reham k talib.
na tum ko mohlt mazed dein ge.

Ada k qisay huwy purane.
Wafa ke mosam khatm hi smjho.

Karein ge tm sy hisab jana.
Na tmko moqa mazed dein ge.

Faraib-0-masti k badle tm ko.
Saza b sun lo shadeed dein ge.

Abi urooj pr h tmhara mosam..
Khizan mein tm ko khareed lein ge..

Usay Har Raat Jab Bhool jany ki Qasam khaty Hain Hum

Usay Har Raat Jab Bhool jany ki Qasam khaty Hain Hum...

Tapak Partay Hain Phir Aansoo, Qasam Phir Toot Jati Hai...!

Magar Ay Jaan-E-Jahan Tujh ko jo Haarun Gi To Ro Doon Gi.!

Wo kehti thi.
Hijr ki Raat Aankhon me Guzaron Gi
To Ro Doongi
.
Khaylon me Teri zulfen Sanwrun Gi
To Ro Doon Gi
.
Kehti thi
Yunhi sunsaan Raaton me Pareshani k Aalam
me
.
Gali me a k Jb Tujh ko Pukaroon Gi
To Ro Doon Gi
.
Teri Tasweer Aankhon ko Jhapakne Bhi Nahi
Deti
.
Main jb Deewaar Se Us ko Utaroon Gi
To Ro Doon Gi
.
Agr Main zindagi Bhi Haar Doon to Muskuraon
gi
.
Magar Ay
Jaan-E-Jahan
Tujh ko jo Haarun Gi
To Ro Doon Gi.!

Pakistan me Aesa bhi hota hai

Sad but true...

Teri Duniya se Sanam Laut k Aaon Kaise

Teri Duniya se Sanam Laut k Aaon Kaise
Khud ko Main Yaad Nahi Tujh ko Bhulaaon
Kaise

Ab To Har Shakal Se Hai Soorat-e-Janaa'n
Zaahir
Har Taraf Aag hai Daaman ko Bachaaon Kaise

Hussan Waala Bhi Khareedar-e-Zulekha Nikla
Tujh ko Bazaar ka Dastoor Bataaon kaise

Aa K Kar De Meri Tameer Nayi Phir TU Hi
Girti Deewaar Hoon Main khud ko Uthaaon
Kaise

Kiyon Milaayi Thi nazar mujh se Qayaamat Jaisi
Mehshar-e-Dil Main Tujhe Aaj Dikhaaon Kaise

Be-Khudi Par Tera Ehsaan Bahut hai Saqi
TU Hi Ye Mujh Ko Bata Hosh Mein Aaon kaise

Mere Har Shair Mein Posheeda Hai Us ki
Soorat
Ay Ghazal ! Rukh Se Tere Parda Uthaaon Kaise

Shama Har Rang Mein Jalti Hai Saher Hone Tak
Misra-e-Hazrat-e-Ghalib Ko Chupaaon kaise