Ajabb Haall Haiii Kuch In DinoO Tabiyat KaA...

Ajabb Haall Haiii Kuch In DinoO Tabiyat KaA... 

Khushiii,Khushiii Nahiii Lagtiii Or Gham BuraA Nahiii LagtaA...

Aye Rab tu faqat ik enayat karta,

Aye Rab tu faqat ik enayat karta, 
to dard hamara pyambar na hota, 

ya ham itne hassas na hote, 
ya zamana itna sitam gar na hota..

A kaash k aisa ho jaye

A kaash k aisa ho jaye 
Jise chaha tum ne har lamha 
Jise socha tum ne har lamha 
Wo shakhs tmhara ho jaye 

tum jis se mohabbat karte ho 
Jise dekh k jite marte ho 
Jise kho dene se darte ho 
Wo shakhs tumhara ho jaye 

Wo jis ki yadon main kho kar 
tum waqt guzara karte ho 
Wo jis ki baton main kho kar 
Khud se b kinara karte ho 

In tanha tanha raaton main 
tum jis ko pukara karte ho 
Wo shakhs Tumhara ho jaye 
A kaash k aisa ho jaye.

Ghafil teri yaadon se howa main to nahi tha...

Ghafil teri yaadon se howa main to nahi tha... 
Tu tha hi Juda, tujh se Juda main to nahi tha! 

Ja tu meri guftar k Qabil hi nahi hai, 
Ye lafz kabhi keh k gya main to nahi tha! 

Besakhta ghabra k pukara tha kisi ko, 
Socho tere honton ki sada main to nahi tha! 

Koi to mere Jurm ki tafseel bata dy, 
Aay 'faiz' tere haq mein bura main to nahi tha...!!

Ham bure hame tasleem magar,

Ham bure hame tasleem magar, 

tum kehte ho to bura lagta hai

Kabhi yak_ba_yak tawajjo Kabhi Be_rukhi Musalsal.

Kabhi yak_ba_yak tawajjo Kabhi Be_rukhi Musalsal. 

Koe Aazma raha he mujh ko rukh badal badal k...

Us Ki Mohabbat Bhi Kiraaye K Ghar Ki Tarah Thi..

Us Ki Mohabbat Bhi Kiraaye K Ghar Ki Tarah Thi.. 

Jitna Bhi Sajaaya Phir Bhi Mera Naa Hua..

Student: sir ye dunia kis chiz ki banni hy??

Student: sir ye dunia kis chiz ki banni hy?? 
Sir: suraj, chand, sitare, mitti, insan, hewaan etc etc. 
Student: sir phir wo kon hy jo kehti hy "Ay dunia pittal di" 
O baby doll mai sone di"

Khawab Me Soya Tha Main Kis Ne Jagaya Mujh Ko,

Khawab Me Soya Tha Main Kis Ne Jagaya Mujh Ko, 
Kis Ki Awaaz Ne Andar Se Bulaya Mujh Ko. 

Kon Hon Main Ye Kis Ne Bataya Mujh Ko, 
AaJ Tak Mujh Se Kisi Ne Na Milaya Mujh Ko. 

Man K Kuch Aur Taqaazay Hain Mere Tan K Aur, 
Mujh Se Milne Nahi Deti Meri Qaaya Mujh Ko. 

Raat Ho Din Ho Azaa'n Khana Ho Maykhana Ho, 
Chorta Hi Nahi Tanhai Ka Saaya Mujh Ko. 

Lafz Har Toal K Bolo Kaha Karty Thy Buzurg, 
Ye Saleeqa Magar Ab Tak Nahi Aaya Mujh Ko. 

Ab Tu Aakaash Hi Aakaash Hai Aur Meri Uraan 'SAAQI' 
Wehm K Saayon Ne Go Laakh Daraya Mujh Ko.

Pathan ne Ghar ka Darwaza ukhara

Pathan ne Ghar ka Darwaza ukhara or 
kandhe pe rakh k Bazar me gya.: 
1 Admi ne poucha: khan, 
Kia Drwaza Bechna hy? 
Pathan:Nhi Tala Khulwana hai. 
Chabi gum ho gye hai. 
Hanso mat 
Joke abhi aage hai 
. 
. 
. 
. 
Admi pathan se: Agar ghar mai chor ghus 
gay to..? 
Pathan:Andar kesy jai ga drwaza to 
humare pas hy?

Reza Reza Sapno Wale Toote Chehre Aadhe Log

Reza Reza Sapno Wale Toote Chehre Aadhe Log 
Jaane Wale Kab Aate Hain 
Kyun Karte Hain Vaade Log 

Aas Mein Bethi Shehzadi Ki 
Maang Mein Chaandi Jhaank Chuki 
Itni Dair Se Kyun Aate Hain Aakhir Yeh Shehzade Log 

Pyaar Ki Raah Pe Ungli Thaame Andha-Dhund Chal Parhte Hain 
Na Samjhi Main Marr Jaate Hain Hum Se Seedhe Saadhe Log 

Hum Dono Mein Kaon Hai Mujrim Yeh Tay Hona Mushkil Hai 
Aadha Shehar Tha Haami Uska Saath Thay Mere Aadhe Log...

Rang Nikhre Tu Sabhi Gul Bi Thay Kush Posh Rahe

Rang Nikhre Tu Sabhi Gul Bi Thay Kush Posh Rahe 
Mehki Fazaon Mai Yun Hawaon Ke Ham Dosh Rahe 

Lamhe Thy Qaid Tere Lehje Ki Khanak Ko Sun Kar 
Ham Bi Thy Mast Aur Sarapa Hama Tan Gosh Rahe 

Kuch Halat Bi Mwafaq Thy K Jazbe Thy Jwan 
Ham Bi Azhar Ke In Lamhon Mai Thy Pur Josh Rahe 

Alfaz Ruk Jayen Jo Agar Aankhon Ko Sukhn War Dekhin 
Soch Par Pehre Lge Aur Ham Bi Thay Khamosh Rahe 

Mere Jazbon Ki Sadaqat Pe Na Koi Harf Aye 
Dil Ke Jor Raaz The Wo Sene Mai Hi Roposh RaHe