Bajuz hawa koi janay na silsale tere

Bajuz hawa koi janay na silsale tere 
mai ajnabi hon karon kis se tazkaray tere 

Ye kaisa qurb ka mosum hai ae Nigaar e chaman 
Hawa me rang na khushbu me zaiqay tere 

Mai theek se teri chahat tujhe jataa na saka 
Keh meri Rah me haael thay maslay tere 

Guloon ko zakhm sitaron ko apne ashk 
kahun 
Sunaoon khud ko teray bad tabsaray tere 

Ye dArd kam to nahi hai ke Tu hamen na mila 
Ye aur bat keh ham b na ho sakay tere 

Hawa e mausam e gul ki hain Lorian jaise 
Bikhar gae hon fizaun me qehqahay tere 

Kise khabar k hamen ab b yad hain Mohsin 
Wo karwaten shab e ghum ki wo hauslay tere.
Comments
0 Blogger Comments