Meri Aankhon Ki Taraf Dekh Meri Baat Samajh !

Meri Aankhon Ki Taraf Dekh Meri Baat Samajh ! 
Mujh Se Naaraaz Na Ho, Tu Merey Haalaat Samajh ! 

Meri Khuwaahish Hai Terey Marmaree'n Rukhsaaron ko, 
Main Har Ek Lamha Nigaahon Mein Samaaye Rakhon, 
Teri Aankhen Meri Aankhon k Maqaabil hi Rahein, 
Main Teri Maang Sitaaron se Sajaaye Rakhon, 

Tujh Se Gham Le k Tujhe De Doon Khushi ki Daulat, 
Terey Hoonton ko Jila Bakhshey Tabassum Tera, 
Khoob-Soorat Ho Teri Tarah Meri koi Ghazal, 
Merey Ash'aar ko Mil Jaaye Tarannum Tera. 

Jaanay kiyon phir Mujhe Duniya ka Khayaal Aata Hai, 
Jis Mein Farsooda Rawaayaat ki Zanjeeren hain, 
Jisam Aazaad Hain Ham Sab k Ba-Zaahir,Lekin 
Qaid Mein Siskiyaan Leti Huwi Taqdeeren Hain. 

Tu Hai Masoom, Na Samjhe Gi Zamaaney ka Chalan, 
Tujh ko Maloom Nahi Hain Yahaan Waalon k Rawaaj, 
Main Bataata Hoon Tujhe, Mujh Se Dam-e-Aakhir tak, 
Tujh Ko Milne Nahi De Ga ye Zamaana ye Samaaj, 

Is Liye Mujh ko Bhula De Yahi Behtar Hoga, 
Warna Tere Liye Andesha-e-Ruswaai Hai, 
Ye Alag Baat Rahoon Ga Main Sukoon se Mahroom, 
Main Ne Khud Apney Kiye Ki Ye Sazaa Paayi Hai"..
Comments
0 Blogger Comments