Pani Ankh Ma Bhar k Laya Ja Sakta Hai

Pani Ankh Ma Bhar k Laya Ja Sakta Hai 
Ab Bhi Jalta Sheher Bachaya Ja Sakta Hai 

Aik Mohabat Aur Wo Bhi Nakam Mohabat 
Lekin Is Se kam Chaleya Ja Sakta Hai 

Dil Par Pani Piny Ati Hain Umeeden 
Is Chashmy Main Zeher Milaya Ja Sakta Hai 

Mujh Benam Se Pujhty Hain Farhad-o-Majnoo 
Ishq Main kitna Naam Kamaya Ja Sakta Hai 

Phatta Puran khwab Hai Mera Phir Bhi 
Is Main Apna Aap Chupaya Ja Sakta Hai...
Comments
0 Blogger Comments