Eid k din bhi tanha hun.

Eid k din bhi tanha hun.
Main phir bhi ji raha hun.

Teri eid khushion bhari ho.
Rab se karta  yeh dua hun.

Ashkon ka sagar jo pee gaya.
Main ek aisa diya hun.

Mujhe es bat ka Gham hai.
Eid k din tum se juda hun

Tum se gila hai na shikayat
Apny muqadar sy khafa hun.

JAIZ hai uska Qatal hamary Hisaab se,






JAIZ hai uska Qatal hamary Hisaab se,
Jis ne Mohabbaton ko nikala Nisaab se

Tanqeed kar rahy hain Kitaab-e-Hayaat par,
Aagey na barh saky jo kabhi Intisaab se;

Main Sahib-e-Khabar bhi Nazar bhi Junoon bhi tha,
Jab tak raha tha Mera Taalluq Kitab se;

Uss Waqt aik Sajda barry kaam aa gaya,
Main jab guzar raha tha Anaa k Azaab se;

Mujh se bary bary thy Gunahgaar uss jaga,
Bekaar Dar raha tha Main Youm-e-Hisaab se;

Kaanton k Khauf se bhi Larazty ho Tum ArYaaN,
Aur Ghar bhi Chah'tey ho Sajaana Gulaab SE..

Ghazab ki dhoop hai tanhaion k jangal me,

Ghazab ki dhoop hai tanhaion k jangal me,

shajar bohat han magar koi sayadar nahe !!

Kash K Unhey khwab he a jaye..

Kash K Unhey khwab he a jaye..

Hamari be-panah muhabbat ka!!

Yehi Huwa ki Hawa Le Gayi Urra k Mujhe

Yehi Huwa ki Hawa Le Gayi Urra k Mujhe
Tujhe to kuch Na Mila Khaak Mein Mila k Mujhe

Bus Ek Goonj Hai jo Saath Saath Chalti hai
Kahan Ye Chorr Gaye Faasale Sada k Mujhe

Charagh Tha To Kisi Taaq Hi Mein Bujha Rehta
Ye Kya Kiya K Havaale Kiya Hawa k Mujhe

Ho Ek Adaa To Use Naam Doon Tamanna ka
Hazaar Rang Hain Is Shola-e-Hina k Mujhe

Buland Shaakh se Uljha tha Chaand Pichale Pahar
Guzar Gaya Hai koi Khuwaab Sa Dikha k Mujhe

Hazaar Baar Khula Zehan Baad-Baan ki Tarah
Nukoosh-e-Paa Na Mile Umar-e-Baad Paa k Mujhe

Main Apni Mauj Mein Dooba Huwa Jazeera Hoon
Utar Gaya hai Samandar Buland Pa k Mujhe

Yehi Huwa ki Hawa Le Gayi Urra k Mujhe

Yehi Huwa ki Hawa Le Gayi Urra k Mujhe
Tujhe to kuch Na Mila Khaak Mein Mila k Mujhe

Bus Ek Goonj Hai jo Saath Saath Chalti hai
Kahan Ye Chorr Gaye Faasale Sada k Mujhe

Charagh Tha To Kisi Taaq Hi Mein Bujha Rehta
Ye Kya Kiya K Havaale Kiya Hawa k Mujhe

Ho Ek Adaa To Use Naam Doon Tamanna ka
Hazaar Rang Hain Is Shola-e-Hina k Mujhe

Buland Shaakh se Uljha tha Chaand Pichale Pahar
Guzar Gaya Hai koi Khuwaab Sa Dikha k Mujhe

Hazaar Baar Khula Zehan Baad-Baan ki Tarah
Nukoosh-e-Paa Na Mile Umar-e-Baad Paa k Mujhe

Main Apni Mauj Mein Dooba Huwa Jazeera Hoon
Utar Gaya hai Samandar Buland Pa k Mujhe

Aur Kiya Hai Teri Basti Mein Pareshaani Mujhe

Aur Kiya Hai Teri Basti Mein Pareshaani Mujhe
Har Qadam Par Tokti Hai Marg-Saamaani Mujhe

Do Parinde Ek Hi Patthar Se Maare Waqt Ne
Aag Basti ko Ataa Ki, Aankh ka Paani Mujhe

Jis Ka Waada Tha k Pehnae Ga Taaron Ki Qabaa
Jaate Jaate De Gaya Malboos-e-Uriyaani Mujhe

Aaeina Aur Apni Soorat Ye Hai Teri Kainaat
Kiya Kare Ga Mushtail Apna Hi Zindaani Mujhe

Mera Chup Rehna Bhi Ay Naadaan Bahut Mehnga Parra
Bakhsh Di Qaatil Ne Maqtal Ki Nigahabaani Mujhe

Stop Killing Gaza

Barri Anokhi EID Ki Kharedaari Hai Falasteen Mein..

Log Ro Ro Kar Kafan Khareed Rahe Hain Apnay Piyaaron K Liye...

SAFAR TANHA NHI KARTAY

USE KEHNA

Hazaron pal tumhare bin.
Na pucho kaise katte hain.
Kabi Yaaden rulati hain.
Kabi mosam satatey hain,

Use keh do hum Aate hain,
Hame Mayus na karna.
Hamara MAAN rakh lena.
Hame wapis nahi jana,
Hame apna bana lena.
Hame dil mein bsa lena.

Use kehna!
Bohat toote hue dil se.
bohat Rootha nahi karte.
MOHBAT to ibadat hai.
Ise ruswa nahi karte.
Zamaane se chhupate hain
kabi charcha nahi karte.

Suno Aisa nhi krte.
SAFAR TANHA NHI KARTAY

Dedicate to Palestine

Ajab Sheher Hai Ajab Eid Hai,
Lashon Se Saji Ghazab Eid Hai,

Falasteen Ki Galiyon Mein Khon Ki Barish,
Har Aankh Mein Aanso Be-Sabab Eid Hai,

Har Zuban Par Aik Hi Faryaad Wahan,
Na Sajao Bazam-E-Eid Ye Be-Talab Eid Hai,

Falasteen Kal Bhi Maqtal Aaj Bhi Maqtal,
Wahan Na Tab Eid Thi Wahan Na Ab Eid Hai,

Kis Qadar Behis Ho Hain Log AYAZ,
Falasteen Laho Laho Hum Puchte Hain Kab Eid Hai..!

Jab Joban Tera Dhal Jaye,

Jab Joban Tera Dhal Jaye,
Jab Pyaar Ki Umar Nikal Jaye,,
Jb Chorr De Tujh Ko Husn Tera,
Jab Chehra Pur Ho Jhuriyon Se,
Jb Zulf K Kham Na Baqi Hon,
Jb Rangat Na Ho Gaalon Me,,
Jab Chaandni Utrey Baalon Me,
Jab Aankh Ki Masti Toot Jaye,
Jb Hont Bhi Surkhi Kho jayein,
Jab Chorr Dein Tujh Ko Sab Sathi,
Jab Koi Na Tujh Ko Apnaye,

Tab....!!

Mere Paas ChalY Aana,
Basti Ki Sooni Galiyon Me,
Ek Betha Hoga Deewana,
Jo Pyaar Parast Ik Pathar Hy,
Jo Tujh Ko Sona Kr dega,
Tere Joban Ko Wo Kia Jane?
Teri Umar Se Usko Kia Matlab ?
Tere Jism Se Uska Kia Rishta ?
Jise Kehty Ho Tm Harjayi,
Hy Tere Naam Ka Shaidayii...

Azaadiyon K Naam Pey Ruswaaiyaan Mileen,,

Azaadiyon K Naam Pey Ruswaaiyaan Mileen,,
Mushkil Sey Terey Dard Ki Pinhaaiyaan Mileen..

Saaqi Ney Jhoot Bola Hai Fasl-e-Bahaar Mein,,
Gulshan Mein Sirf Aap Ki Angrraiyaan Mileen..

Mujh Ko Miley Hain Qarya-e-Mahtaab Mein Gharrey,,
Tujh Ko Tou Patharon Mein Bhi Ra'Naaiyaan Mileen..

Hum Ney Unhi Ko Soorat-e-Janaan Bana Liya,,
Deewar-e-Aarzoo Pey Jo Parchhaiyaan Mileen..

Unn Par Nisaar Mehfil-e-Hasti Ki Ronaqein,,
Aey Dost! Maikadey Mein Jo Tanhaaiyaan Mileen..

Har Tajurbey Mein 'Saghar' Mai Ka Jawaaz Hai,,
Har Falsafey Mein Zulf Ki Gehraaiyaan Mileen...!!

Urr Gaye Ahbaab Peele Khushk Patton Ki Tarah...

Urr Gaye Ahbaab Peele Khushk Patton Ki Tarah...

Muflisi Mein Dosti Ki Shaakh Khaali Ho Gae...

Pathan Cycle pe apni Behen k sath ja raha tha

Pathan Cycle pe apni Behen k sath ja raha tha

Kisi ne awaz lagai
"Khan Mehboba ko ghuma Rahy ho"
Pathan josh se
O khabees Mehboba hogi TERI
Hamara tu Bahen hai..

Mein Tumhare Ishq Me Tabah Barbad hogae Ruswa hogae

Gf:
Mein Tmhare Ishq Me Tabah Barbad hogae Ruswa hogae

Bf:
To Me Knsa Minister Ban Gya?

Me B Chinchi hi Chala Rha Hon :p

Chal bhai thora mil kr betho....?

Breaking News:

Breaking News:

Tahir ul Qadri ki Pakistan aaney ki asal waja manzar e aam per aa gayi hai.



Canada mein Ramzan k ROZAY ka Doraniya 19 Ghantay hai. :-P

Wohi RatJaggy Puraany Wohi Dukh Bhari Kahani..!

Wohi RatJaggy Puraany Wohi Dukh Bhari Kahani..!
Mery Aans'on Men Shamil Meri Dastaan Puraani..!

Meri Inkasariyoon Par Tera Tund_o_Taiz Lehja..!
Wohi Meri Jee Huzoori Wohi Teri Hukamraani..!

Teri BeNiyaziyaan Hain Meri Zindagi Ka Hasil..!
Meri Shaayari Men Shaamil Mery Zabt Ki Kahaani..!

Wohi Hijar Ka Samundar Wohi Aankh Main Udaasi..!
Wohi Sardiyoon Ki Shaamain Wohi Dard Ki Nishaani..!

Teray Husan Ki Nazar Sy Ab Main Uttar Gaya Hoon..!
Mujhay Khud Bhi Chubh Raha Hy Meray Aansoon Ka Paani..!

Apna toh ye soch kar waqt guzar jata hai,

Apna toh ye soch kar waqt guzar jata hai,
Kyon door jane ke liye koi kareeb aata hai.?

Woh jaane kaise apne dil se mujhe bhoola baitha,
Main gar bhoolna chaahun toh bhoola bhi yaad aata hai.

Tab nikharti hai kahin zindagi ki asli soorat,
Ashq jab aap ke daaman pe bikhar jata hai.

Tadap tadap ke tujhe ta’umar yaad karta rahun,
Kuchh aur de na zakhm toh bhar jata hai.

Yun toh main khud bhi tujh par tawajoh nahin deta,
Mera zehan hai ki har baar udhar jata hai.

Beshaq bahaar sooni sooni si lagti hai,
Bulbul ke chale jane se kya baagh ujad jata hai. !!

Wafa Kisi Pe Farz To Nahi Hy,

Wafa Kisi Pe Farz To Nahi Hy,

Lekin,

Ho Sakey To Hamari Muhbbat Ki Laaj Rakhna...

Koi Rat Mere Aashna Muje Yun Bhi Tu Naseeb Ho,






Koi Rat Mere Aashna Muje Yun Bhi Tu Naseeb Ho,
Na Khayal Ho Libas Ka Wo Itna Mere Qareeb Ho,

Badan Ki Garm Aanch Se Meri Arzu Ko Aag De,
Mera Josh Bhi Behk Uthe Mera Haal Bhi Ajeeb Ho,

Teri Chashni Wajood Ka Mein Sara Rass Nichor Loon,
Phir Tu He Mera Marz Ho Phir Tu He Mera Tabeeb Ho.

Shab-e-Hijraan Ki Aziyet ki Khaber Kis Ko Hai

Shab-e-Hijraan Ki Aziyet ki Khaber Kis Ko Hai
Meri Gumnaam Muhabbat Ki Khaber Kis ko Hia

Kis Ko Ehsaas Meri Shiddat-e-jazbaat Ka Hai
Meri Halat Meri Wehshat Ki Khaber Kis Ko Hai

Kon Veraan Makanou Ki Khaber Rakhta Hai
Meri Ujri Hoi Qismat Ki Khaber Kis Ko Hai

Mainay Chup Chaap Muhabbat k Sitam Jheeleyn Hain
Meri Is Derja Sharafat Ki Khaber Kis Ko Hai

Kon Aayega Aay Dil Ab Tujh Ko Tasalli Daynay
Teri Udaas Tabyet Ki Khaber Kis ko Hai.

Ab jo bikhrey to bikharney ki shikayat kesi ?♥

Ab jo bikhrey to bikharney ki shikayat kesi ?
Khushk patton ki hawaon se rafaqat kesi ?

Maine hr dour me bus us se mohbat ki hai,
Jurm sangeen hai ab is me riayat kesi ?

Ek patta b agr shakh se juda hota hai,
Kya kahon dil pe guzarti hai Qayamat
kesi ?

Zindagi tujhko to lamhon ka safar kehte thy.
Raah me Aa gai sadiyon ki musafat kesi ?

Hawa k dosh pe rakhey hoey chiragh thay hum
Jo bujjh gaye to hawaon se shikayat  kesi...

Kuch Aisy Ehtiyaat Se Nikla Hai Chaand Phir...

Kuch Aisy Ehtiyaat Se Nikla Hai Chaand Phir...

Jaisy Andheri Raat Me Khirki Pe Aao Tum..

Tuje ilm b ha ay TABEEB_E_JAAN

Tuje ilm b ha ay TABEEB_E_JAAN
tera pyar meri hayat ha,

Main mareez hun tere qurb ka
mujhe door ja k dawa na de,

Yahan sab andhair parast hen
Yahan roshni ki majal kya,

Ye chragh phir b chiragh hai
Koi aate jate bujha na de,

Tum gay dino me jo sath thy
Mery qalb_o_jaan ka saboot thy,

Ye bila wajah tera rothna
Meri zindagi ko mita na de,

Tere samne mery humsafar
Meri dharkano ki bisat kya,

Tera is tarah mujhe bhulna
kahin meri umer ko ghata na de..

♥♥♥ Khabar Thi Ghar Se Wo Nikla Ha Meenh Baraste Me.♥♥♥

Khabar Thi Ghar Se Wo Nikla Ha Meenh Baraste Me.
Tamam Shehar Liye Chhatriyan Tha Raste Me..

Bahaar Ayi To Ek Shakhs Yaad Aya Bohat
K Jis K Honton Se Jharte Thy Phool Hanste Me...

Kahan K Maktab-o-Mulla Kahan K Dars-o-Nisab
Bs Ek Kitab-e-Mohabbat Rahi Hai Bastey Me....

Mila Tha Ek Hi Gahak To Hum ßhi Kya Karte
So Khud Ko Bech Diya Be-Hisab Saste Me.,...

Ye Umar Bhar Ki Musafat Ha Dil Bara Rakhna.
K Log Milte Bicharte Rahen Gey Raste Me..!!

♥♥♥ Aaj Barasti Barish Mein Ik Kaam Kar Jayen..!!♥♥♥

Aaj Barasti Barish Mein Ik Kaam Kar Jayen..!!

Aao Ik Doojy Se Galy Mil K Mar Jayen..!!

Sun rahy ho..

Sun rahy ho..
 badlon ki garaj-o-chamak...

Kuch isi tarha tarapta hai...!!
hamara dil b Aap K bina...

♥♥♥ TujH Se KiS Ne KaHa YeH MumKiN Hai...!!!♥♥♥






TujH Se KiS Ne KaHa YeH MumKiN Hai...!!!

Tu RaHe Or TujH Mai_MaiN Naa RaHuN...!!!

ham bhi jinhy azeez thy zindgi ki tarah...

hum bhi jinhy azeez thy zindgi ki tarah...

wo mujay bhol gaya hai kisi ajnabi ki tarah...

Tumhein Bakhshi Hai Dil Pe Hukamraani Aur Kya Detay. Yehi Thi Bus Hamaari Muhabbat Ki Nishaani Aur Kya Detay. Sitaaron Se Kisi Ki Maang Bharna Aik Fasaana Hai, Tumhaare Naam Likh Di Zindagaani Aur Kiya Detay. Wo Hum Se Maangta Tha Umar Ka Aik Dil-Nasheen Hisa, Na Dete Us Ko Hum Apni Jawaani Aur Kiya Detay. Bichartay Waqat Us Ko Aik Na Aik Tohfaa Tu Dena Tha, Hamaary Pas Tha Aankhon Me Paani Aur Kya Detay.

TujH Se KiS Ne KaHa YeH MumKiN Hai...!!!

Tu RaHe Or TujH Mai_MaiN Naa RaHuN...!!!

Tum BadLo To Majborian Bohat Hain. Ham Badlen To Bewafai Ka Ilzam.

Tumhein Bakhshi Hai Dil Pe Hukamraani Aur Kya Detay.
Yehi Thi Bus Hamaari Muhabbat Ki Nishaani Aur Kya Detay.

Sitaaron Se Kisi Ki Maang Bharna Aik Fasaana Hai,
Tumhaare Naam Likh Di Zindagaani Aur Kiya Detay.

Wo Hum Se Maangta Tha Umar Ka Aik Dil-Nasheen Hisa,
Na Dete Us Ko Hum Apni Jawaani Aur Kiya Detay.

Bichartay Waqat Us Ko Aik Na Aik Tohfaa Tu Dena Tha,
Hamaary Pas Tha Aankhon Me Paani Aur Kya Detay.

Tum BadLo To Majborian Bohat Hain.

Tum BadLo To Majborian Bohat Hain.

Ham Badlen To Bewafai Ka Ilzam.

Chand Lamhay Mujhay Apnay Khiyalon main Basanay ka Shukriya

Chand Lamhay Mujhay Apnay Khiyalon main Basanay ka Shukriya
Baar Baar phir mujhay Yaad Aanay ka Shukriya

Shukriya k Tum ne bulaya mujhay Piyar k Sath
Majboori keh kar phir Mehfil se Uthanay ka Shukriya

Shukriya k Chand din Tum Mairey Dil main rahay
Phir pehlay ki Tarha Is Dil ko Khali Chor Janay ka Shukria

Shukriya k Tum ne Mujhay Apnay Piyar k Qabil Samjha
Phir khud hi Piyar se Thukranay ka Shukriya

Shukriya k Zamanay ne Ham ko Milnay na Diya
Tera b Zamanay k Sath Mil Janay ka Shukriya...!

Meri DehLeez Par Aa Ruki Hy Dastak-E-MoHABBAT.. Mehmaan Nawazi ka Shoq B Hy Or UJar Jany ka khoof Bi.

Doob Kar Jis Ne Muhabbat Me Adakari Ki,
Dil-e-Saada Ne Buhat Us Ki Tarafdaari Ki.

Jaib Me Le K Umeedon K Khanakte Sikke,
Hum Ne Khawabon K Jazeeron Me Khareedari Ki.

Maatmi Rang Ka Malboos Pehan K Dil Ne,
Raat Ujre Hue Khawabon Ki Azadari Ki.

Theek Ha Dil Ko Lagaya Tha Kabhi Bhoole Se,
Is Ki Qeemat Bhi Adaa Hum Ne Bohat Bhaari Ki.

Dil K Sehra Me Ugaae Hain Muhabbat K Gulaab,
Mausam-e-Ishq Me Hum Ne Bhi Shajar Kaari Ki.

Meri DehLeez Par Aa Ruki Hy Dastak-E-MoHABBAT..

Meri DehLeez Par Aa Ruki Hy Dastak-E-MoHABBAT..

Mehmaan Nawazi ka Shoq B Hy Or UJar Jany ka khoof Bi.

Teray Khayal Men Kuch Aisey Gum Raha Barson,






Teray Khayal Men Kuch Aisey Gum Raha Barson,
Main Apne Aap Se B Mil Nhi Saka Barson,

Kahin Wo ZaAiqa Tehleel Hi Na Ho JaAye,
Main Uss Se Mil K Kisi Se Nahi Mila Barson,

Kaha Tha Tum Ne K Tum lout Aao Gy Ik Din,
So Main Jahan Tha Wahin Par Khara Raha Barson,

Teray BagHair Meri Umer Raayigaan Guzri,
Koi Bhi Kaam Nahi Theek Se Hua Barson,

Tumhary Hath Ki Dastak Ki Aas Men,
Main Apne Ghar Se Kahin B Nahi Gaya Barson..

I LOVE PAK ARMY

I LOVE PAK ARMY

Har Bar Ki Tarha Is Bar Bhi EID Tujh Pe Qurban Kar Jaon Ga,
Main Ye Eid Bhi Teri Rakhwali Mein Guzraon Ga,

Hathon Mein Raifal Seene Pe Golian Sajaon Ga,
Aaye Watan Main Ye Eid Bhi Teri Sar Hadon Pe Manaon Ga,

Apni Khushian Gham Apne Tere Sath Hi Manaon Ga,
Aye Watan Katt Jaye Sar Tan Se,

Par Teri Qasam Tujhe Bachaon Ga,
Main Ye EID Bhi Teri Sar Hadon Pe Manaon Ga........!

DEDICATED TO ALL Soldiers Pak Army And Intellegent.

Days begin with hopes and ends with dreams.

Days begin with hopes and ends with dreams.
Evryday starts with some expectations,
but evryday surely ends with some experience..."

"That's Life"

Har Kisi K Naam Par Nahi Goonjti..

Har Kisi K Naam Par Nahi Goonjti..

Dharkanain Barri Ba-Asool Hooti Hain..

Jab Koi Kaam Tmhari Marzi K Mutabiq Ho Jaye..

Jab Koi Kaam Tmhari Marzi K Mutabiq Ho Jaye..
To Shukr Ada Karo K ALLAH Ne Tumhari Marzi Ko Itni Ehmiyat Di..

0r Agar Tumhari Marzi K Khilaf Ho to..
0r Zyada Shukar Ada Karo K

Ab Wo ALLAH Ki Marzi Se Hoga.
Jo Tmhari Marzi Se Behtar 0r Boht Afzal Hy"

Jado Aata Hai Ya Kisi Aur Ilm Mein Mahir Ho

Jado Aata Hai Ya Kisi Aur Ilm Mein Mahir Ho

Hamare Dil Pe Qabza Kisi Aam Shakhs Ka Kaam Nahi.

Paa-Ba-Gil Sab Hai Rihayi Ki Kare Tadbeer Kon

Paa-Ba-Gil Sab Hai Rihayi Ki Kare Tadbeer Kon
Dast-Basta Shehar Mein Khole Meri Zanjeer Kon

Mera Sar Haazir Hai Lekin Mera Munsif Dekh Le
Kar Raha Hai Mere Fard-e-Jurm Ki Tehreer Kon

Aaj Darwaazon Pe Dastak Jaani Pehchaani Si Hai
Aaj Mera Naam Leta Hai Meri Taazeer Kon

Neend Jab Khuwaabon Se Piyaari Ho To Aise Ahad Mein
Khuwaab Dekhe Kon Aur Khuwaabon Ko De Taabeer Kon

Ret Abhi Pichhle Makanon Ki Na Waapas Aayi Thi
Phir Lab-e-Saahil Gharaunda Kar Gaya Taameer Kon

Saare Rishte Hijraton Mein Saath Dete Hai To Phir
Shehar Se Jaate Huwe Hota Hai Daaman-Geer Kon

Meri Chaadar To Chhini Thi ShaaM Ki Tanhaai Ne
Be-Ridaai Ko Meri Phir De Gaya Tashaheer Kon

Dushmanon K Saath Mere Dost Bhi Aazad Hai
Dekhna Hai Kheenchta Hai Mujh Pe Pehla Teer Kon

Har kisi ko Apna Banata Raha Phir B Koi Mera Na Bana..

Har kisi ko Apna Banata Raha Phir B Koi Mera Na Bana..

Aany Waly Ko dil ka Rasta b Diya
Jany Waly Ko KHUDA  Ka Wasta b Diya.

Ye Zamana Jal Jaye Ga Kisi Sholy Ki Tarah..






Ye Zamana Jal Jaye Ga Kisi Sholy Ki Tarah..

Jab Mere Haath Ki Ungli Me Hogi Us k Naam Ki Anghoothi..

MujhE AkSar RuLati Hain..

MujhE AkSar RuLati Hain..

M0habbat..!!
BarShain..!!
Aur Tum..!!

☺☻♥♦♣♠•◘○ Mil Jaein To Jevan Ko Saja Dety Hain Lekin...!☺☻♥♦♣♠•◘○

Mil Jaein To Jevan Ko Saja Dety Hain Lekin...!

Bichrein To Duaoun Sy Bhi Miltay Nhi Kuch Log...

Muskarany Say Shoru Or Rulane Pe Khatam,,,

Muskarany Say Shoru Or Rulane Pe Khatam,,,

Ye Zulm Hai,,,!!!

Insano Pe Jisay Loog Mohabbat Kehte Hain...

Sambhal k rakhi hain main ne apne hissy ki saari khushiyan,,,






Sambhaal k rakhi hain main ne apne hissy ki saari khushiyan,,,

Tum loat k aao gay to Phir khushiyan manayen gay hum...

Wo Bari Herani Sy Poch Bethy Mery Gham Ki Waja..

Wo Bari Herani Sy Poch Bethy Mery Gham Ki Waja...!

Phir Halka Sa Muskuray, Or Kaha Mujh Sy Mohabat Ki Thi Na..

As.Salam 0 Alaikum

As.Salam 0 Alaikum

Al_Quran:
Kuch Shak Nahi K Jo Parhez-Gaar Hain Aur Jo Neko-Kaar Hain ALLAH Un Ka Madad-Gaar Hai

(Surah An Nahl, Ayat#128)

I'm the colour of juices,

I'm the colour of juices,
U'r the water of sweet well..

Samaj ai ?
Nahi na...

Matlab mai rang sharbaton ka, tu mithe ghaat ka pani :p

Roza ki length:

Roza ki length:
Arab Countries:
16 hours
Morocco : 14 hours
China :14
Japan :14:30
Korea :12
England :16:30
France :16
Denmark : 21
Iceland:20:20
Netherlands:18:30
Argentina:9:30
Pakistan:15:30
Canada:18
America:15
Mexico:13
South Africa:10:30
India : 14:30 hours.

World Report k mutabiq:

FAJR KI AZAAN sb se pehle Indonesia me se shuru hoti ha aur phir
Sumatra,
Malaysia,
Dhaka,
SriLanka,
India,
Pakistan,
Afghanistan,
Muscat,
Saudia,
kuwait,
Dubai,
Yemen,
Iraq,
Iran,
Istanbul,
Libya,
America.
tak lagatar 9 hours Fajr ki AZAAN hote huwe wapas Indonesia me pohunchti ha
Jahan Zohr ki AZAAN ka Waqt ho jata hai

Subah hoty hi dhondta hai tabeerein...

Subah hoty hi dhondta hai tabeerein...

Dil ko kon samjhaye k khawab khawab hoty hain...

Nahi Rehta Koi Shakhs Adhoora Kisi Cheez K Peche..

Nahi Rehta Koi Shakhs Adhoora Kisi Cheez K Peche..

Waqt Guzar Hi Jata Hai Kuch Paa Kar Bhi Kuch Kho Kar Bhi..

Uth Na JaYe AiteBaaR ZaManY Ka....

Uth Na JaYe AiteBaaR ZaManY Ka....??

Ay MohaBBaT KiSi Ko To MuyaSsaR Aa...


"""""""""""'''"""""""""'""""""""""""'""
For More Urdu Poetry,
Like My Facebook Page.

Muhabit ab tajarat ban gai hai .

Muhabit ab tajarat ban gai hai .
Tajarat ab muhabit ban gai hai..

kisi se khailna phir chhor dena..
Khilon0 ki terha dil t0r dena..

Haseen0 ki yeh adat ban gai hai..
Kabi tha naam iska bewafayi Magar aaj kal be-hayai ..
Sharifon ki yeh sharafat ban gai hai..

kisi mander ki morat thi kabi yeh...
Bohet he khobsoret thi kabhi yeh...
Magar..
Ab kya is ki soret ban gai hai...
MUHABIT ab tajarat '''
Tajarat ab muhabit ban gai hai..

"""""""""""'''"""""""""'""""""""""""'""
For More Urdu Poetry,
Like My Facebook Page.

Ik Shaam Kaha Tha Alvidaa Us Ny.

Ik Shaam Kaha Tha Alvidaa Us Ny.

Tab Sy Bus Hr Shaam Sy Dar Lagta hAi


"""""""""""'''"""""""""'""""""""""""'""
For More Urdu Poetry,
Like My Facebook Page.