Wo Jin K Dil Main Fasl-e-Ghum Ne Dairy Daal Rakhe Hon


Chiraagh-e-Shab Ko Jese Aandhiyaan Achi
Nahi Lagti
Kuch Aisy Hi Humain Khush-Fehmiyan Achi
Nahi Lagti.
Jinhe Sony K Pinjray Main Ghiza Mil Jaye
Chaandi Ki
Unhe Phir Umar Bhar Aazadiyan Achi Nahi
Lagti.
Wo Jin K Dil Main Fasl-e-Ghum Ne Dairy
Daal Rakhe Hon
Unhe Phoolon Pe Bethi Titliyan Achi nhi
Lagti.
Mera Dil Chahta Hai K Unhe Ab Aaina
Dikhaun
Wo Jin Ko Dusron Ki Khamiyaan Achi Nahi
Lagti...

apna Gham leke kahin aur na jaya jaaye.


apna Gham leke kahin aur na jaya jaaye.
ghar men bikhri hoi chizon ko sajaya jaaye.


jin chiragon ko havaaon ka koi Khauf nahin.
un chiragon ko havaaon se bachaya jaaye.


baag men jaane ke aadaab huwa karte hain..
kisi titli ko na phoolon se uraaya jaaye.


Khudkushi karne ki himmat nahin hoti sab me.
aur kuch din yun hi auron ko sataaya jaaye.


ghar se masjid hai bahut dor chalo yun kar len.
kisi rote huwe bache ko hansaya jaaye.

Har ek cheez adhoori hai.


Woh kehti hai.
Mere hathon ki mehndi mein.


Meri ankhon ke kaajal mein.
Mere honthon ki laali mein.
Meri zulfon ke aanchal mein.
Har ek cheez adhoori hai.


Ke jese
Tum mere bina.
Aur
Mein tere bina.

Ab K Mohabton Me Ye Kya Muajzay Huay.




Ab K Mohabton Me Ye Kya Muajzay Huay.
Ham Khud Ko Sochte Hain Tujhe Sochte Huay.


IK Baar Tujh Ko Soch Sar.E.Sham Aur Phir.
IK Aur Raat Beet Gai Jaagtay Huay.


Ham Manzil.E.Adam K Andheron Me Kho Gaye.
Jab Se Alag Tumhare Mere Raastay Huay.


Jab Aaghi Ki Nabz Thi Tu Pata Chala.
Kitnay Baras Guzar Gaye Tujh Se Milay Huay.


Main Ne Kaha K Dunya Me Koi Nahi Mera.
Us Ne Kaha K Aj Se Hum Ap K Huay.
Poet
Ali Hassan Sheraazi

A Broken Flower Love Poem by Daniela Cuellar







A Broken Flower
Don't look at it.
It's not what it appears.
It smiles. 
It laughs.
It is not real.
It's hurt.
Touch it, it'll break.
Look at it, it'll drown.
It'll cry until it hurts.
It's haunted.
The thoughts of you tear it apart.
Why can't it let go? 
What has it become?
It was once happy, now, just upset.
It was once laughing, now, cries until death.
Its heart was wide open, now, hard as a rock.
A smile.
It haunts it.
It tears it apart.
Leave.
It doesn't want you.
Why can't it let go?
A shadow.
Behind it.
Hurting.
So sore.
It will hide 'till forever.
Its want will not cease.
You will not find it.
It will not live in peace.
Yes, it will fall.
Fall as it please.
You will not catch it.
It will let go, as much as you call.
It will not answer, as much as you want.
It is done with you. 
Leave.
It will cry out the hurt.
Don't look at it.
Please.
It will let go.
It's not what it appears.
It is not the real "me".
Until someone comes back, like this it will be.
Touch it, it'll break.
Kiss it, it'll bleed.
It doesn't want to hurt you.
Please!
Leave it be!
It starts as a seed.
It blooms as a flower.
It'll grow and it'll grow.
Grow by the hour.
Please let it go.
Just let it hide.
Because after it blooms, it'll shrivel and die.

Pagal ankhon wali larki


Pagal ankhon wali larki.. 
Itnay mehngay khwab na dekho Thak jao gi... 

Kaanch say nazuk khwab tumharay 
Toot gaye to pachhtao gi.. 

Soch ka sara ujla kundan Zabt ki raakh mein khul jaye ga.. 
Kachay pakkay rishton ki khushboo ka resham Khul jaye ga.. 

Tum kya jaano Khwab safar ki dhoop k teshay.. 
Khwab adhoori rat ka dozakh.. 

khwab khyalon ka pachhtawa.. 
Khwabon ki manzil ruswai Khwabon ka hasiL Tanhai.. 

Tum kya jaano Mehangay khwab khareedna hon to.. 
Aankhein baichna parti hain.. 
Ya rishtay bhoolna partay hain.. 

Andeshon ki rait na phaanko pyas ki oat saraab na dekho.. 
Itnay mehangay khwab na dekho Thak jao gi.. 

Pagal ankhon wali larki.. 
Itnay mehangay khwab na dekho.. 
Thak jao gi... 

Jab Bhi Tujh Ko Mujh Se Koi Juda Kary Ga..


Jab Bhi Tujh Ko Mujh Se Koi Juda Kary Ga..

To Bus Khuda Kary Gaa.. 

Koi To Aayee

Koi To Aayee
Chamakti AankhoN Se Mujhko Dekhey
Zara Sa Chehkey Zara Sa Behkey

Meri Taraf Kuch Gulaab Phainkey
Lapak K Mujhko Galey Lagaey
Koi To Aayee

Jo Meri Hasrat Mein Mubtila Ho
Jo Meri Dharkan Ka Silsila Ho
Jo Mere Lehjey Mein Bolta Ho
Tumhi Ho Mere Mujhay Bataey
Koi To Ayee

Hon Jiski Ankhein Sharaab Jaisi
Hon Jiski Batein Gulaab Jaisi
Ho Jiski Soorat Kitaaab Jaisi
Nazar Milaon To Muskuraey
Koi To Ayeee

Ho Jiska Paikar Bahaar Jaisa
Ho Jiska Takna Qaraar Jaisa
Ho Jiska Ghussa Bhi Pyaar Jaisa
Kabhi Hansa Dy Kabhi Rulaey
Koi To Ayeee

Hon Jiskey Honton Pe Meri Batein
Jo Din Ko Bhi Kehta Jaey Ratein
Hon Ishq Waali Hi Jiski Zaatein
Jo Mere Chehrey Mein Khud Ko Paey
Koi To Ayeee

Jo Teergi Mein Ujala Kar Day
Jo Mujhko APna Hawala Kar Day
Maza Jo Saara Dobala Kar Day
Andhairi Raton Mein Jagmagaey
Koi To Ayee

Hon Jiski Zulfein Ghata Ki Soorat
Ho Saadgi Ki Haseen Moorat
Jo Dil Mein Rakhey Na Kuch Kadoorat
Bura Lagey Kuch To Rooth Jaey
Koi To Aaye

Jo Mere Dil Mein Raha Kary Bus
Jo Mujhse Be Had Wafa Kary Bus
Tumhi Ho Mere Kaha Karay Bus
Jo Meri Ghazlon Ko Gungunaey
Koi To Ayeee.. 

Bus TuM Se MUHABBAT Hai.

Tanhaai K Sehra Men..
Yun Chor K Chal Dena..
Choti Si Shikayat Par..
Munh Morr K Chal Dena..

Yeh kesi Mohabbat Hai..
Yeh Kesi Rafaaqat Hai..
Agar Paas e Wafa Rakh Kar..
Tum Maan Barha Dete..

Be Laus Rafaqat Par..
Eemaan Barha Dete..
Main Fakhir Se Phir Kehta..
Tum Jaan e Rafaqat Ho..

Tum Baab e Mohabbat Ho..
Tehreer e Sadaqat Ho..
Yeh Sub Hai Magar Tab Bhi..
Hai Mujh ko Yaqeen Ab Bhi..

Jo kuch Bhi Kaha Main Ne..
Shikwa Hai Shikayat Hai..
Lekin Yeh Haqeqat Hai..
Bus TuM se M0HAbbAT Thi..
Bus TuM Se MUHABBAT Hai. 

Khuda Rakhe Muhabbat Ke Liye Aabad Dono Ghar.


Hazaron Hasratein Wo Hain Ke Rok Se Nahi Rukti.
Buhat Arman Aise Hain Ke Dil Ke Dil Mein Rehte Hain.

Khuda Rakhe Muhabbat Ke Liye Aabad Dono Ghar.
Mein Un Ke Dil Mein Rehta Hon Wo Mere Dil Mein Rehte Hain.

Zamein Par Paon Nakhwat Se Nahi Rakhte.
Pari Pekar
Ye Goya Is Makaan Ki Doosri Manzil Mein
Rehte Hain.

Koi Naam O Nishaan Pooche To Ay Qasid
Bata Dena.


Takhalus Dagh Hai Aur Aashqo Ke Dil Mein Rehte Hain...!

Nam Hain Palkein Teri Ay Mouj-e-Hawa, Raat K Sath


Nam Hain Palkein Teri Ay Mouj-e-Hawa, Raat
K Sath.
Kiya Tujhe Bhi Koi Yaad Aata Hai Barsat K
Sath.

Rothne Aur Manane Ki Hadein Milne Lage.
Chashm Poshi K Saleeke They Shikayat K
Sath.

Tujh Ko Kho Kar Bhi Rahon Khilwat E Jan
Mein Teri 
Jeet Pai Hai Muhbat Ne Ajab Mat Ke Sath.

Nend Lata Huwa Phir Ankh Ko Dukh Deta
Huwa
Tajurbe Dono Hain Wabasta Tere Hath K Sath.

Kabhi Tanhai Se Mahroom Na Rakha Mujh Ko.
Dost Hamdard Rahe Kitne Meri Zat K Saath.

Poet By

Parveen Shakir.

Zindagi Pyar Hai Tum Pyar Say Roka Na Karo.


Tum Ko Shohrat Ho Mobarak Hamain Ruswa
Na Karo.
Khud Bhi Bik Jaao Gay Ik Roz Ye Soda Na
Karo...>

Shoq Say Parda Karo Parda Hai Wajib
Lekin.
Meri Kismat K Andhairon Main Izaafa Na
Karo...>

Choom Laine Do Rukh E Yaar Ko Jee Bhar K
Hamain.
Zindagi Pyar Hai Tum Pyar Say Roka Na
Karo.

Koshish Karne Say Halaat Badal Jate Hai.
Khud Bigaari Hoi Taqdeer Ka Shikwa Na
Karo...>

Bandagi Hi Say To Hai Banda Nawazi
Unki.
Baaz Nadaan Ye Kahte Hai Sajda Na Karo...>

Arsh Par Khak Nasheeno Ka Basaira
Tobaa.
Jo Na Pori Ho Kabhi Aisi Tamanna Na
Karo...>

Husn Ko Tum Nay Khuda Samjha Hai Lekin
Aay "Munir".
Khud Banaye Hoay Maa'bood Ki Poja Na
Karo.

Seekha tha dil se uski zaat mein rehna..

Seekha tha dil se uski zaat mein rehna..

Sikha diya us ki zaat ne okat mein rehna.. 

Ruk Gei Zindagi Bas Usi Morr Par


Ruk Gei Zindagi Bas Usi Morr Par
Tere Bin Youn hi Mosam Guzarte Rehe

Dil K Aangan Men Roti Rehi Hasraten
Aankh Zinda Rehi Khuwab Marte rehe

Jab Talak tu Meri Simt Chalta Raha
Puch kr Mujh Se Suraj Nikalta Raha

Tere Lehje ki Khushboo Me Bheege Hue
Chand Tare Mere Ghar Utarte Rehe

Aankh Me Chahton K Samundar Liye
Kitni Jaldi tu Mujh se Juda ho Geya.

Jane Wale,Tujhe Keya Khabr Hay k Ham.
Lamha Lamha
Tere Baad Marte Rehe.

Main Kab Ye Soch Sakta Tha...

Main Kab Ye Soch Sakta Tha...

Majboori Laakh Hon Lekin..
Rawaiya Kab Badlta Hai...
Tum Mujh Ko Chhorr Jaao Ge..
Main Kab Ye Soch Sakta Tha...

Zameen Zaade Hi Thay Phir Bhi...
Palat Kar Kisi Ko Na Dekha..
Magar Sab Kuch Luta Den Ge...
Main Kab Ye Soch Sakta Tha..

Teri Yaadon K Manzar Hi...
Mere Sab Khuwab Lootein Ge...
Mujhe Paagal Sa Kar Dein Ge...
Main Kab Ye Soch Sakta Tha...

Yahaan Jab Baadal Barsein Ge...
Meri Haalat Wo Badlein Ge...
Meri Aankhein Bheego Dein Ge...
Main Kab Ye Soch Sakta Tha...

Bichharr Jaana Muqadar Tha...
Bichharr K Chal Diye Thay Ham...
Ye Dil Phir Lout Jaaye Ga...
Main Kab Ye Soch Sakta Tha...

Fasana Chaar Lafzoon Ka...
Umar Ki Qaid Q Saajan..
Mile Gi Youn Saza Mujh Ko..
Main Kab Ye Soch Sakta Tha.. 

Hamare Saath Kiya Kiya Jhelta Woh..

Hamare Saath Kiya Kiya Jhelta Woh..

Bichar Kar Kitna Acha Reh Gaya Hai.. 

Mujhay Chhor To Nahi Jao Gay


Us Ne Kaha Mujhay Chhor To Nahi Jao Gay

Jawab Main Kia Du Sawal Hi Paida Nahi Hota..

Bhoole Se Kabhi Le Jo Koi Naam Hamara,

Bhoole Se Kabhi Le Jo Koi Naam Hamara,
.
Mar Jaye Khushi Se Dil-E-Nakaam Hamara.
.
Le Jati Hai Us Simt Hamain Gardish-E-Dowraan,
.
Aye Dost Kharabat Se Kia Kaam Hamara.
.
Kar Lete Hain Takhleeq Koi Wajha-E-Aziyat,
.
Bhaata Nahi Khud Ham Ko B Aaram Hamara.
.
Aye Gardish-E-Doraan Ye Koi Soch Ki Rutt Hai,
.
Kambakht Abhi Daor Mein Hai Jaam Hamara.
.
Is Bar To Aya Tha Idhar Qasid-E-Jaan Khud,
.
Sar Kaar ko Pohncha Nahi Paigham Hamara.
.
Ponchai Hai Takleef Bohat Pehle Hi Tujh Ko,
.
Aye Reh Numa Hath Na Ab Thaam Hamara.. 

Baat Ye Tere Siwa Aur Bhala Kis Se Karen.

Baat Ye Tere Siwa Aur Bhala Kis Se Karen.
To Jafa Kaar Huwa Hai Tu Wafa Kis Se Karen.

Aaeina Saamne Rakhen Tu Nazar To Aaye.
Baat Jo Tujh Se Chupaani Ho Kaha Kis Se Karen.

Haath Uljhe Huwe Resham Me Phansa Bethe Hain.
Ab Bata Kon Se Dhaage Ko Juda Kis Se Karen.

Zulf Se Chashm Lab-o-Rukh Se K Tere Gham Se
Baat Ye Hai K DIL-o-Jaan Ko Juda Kis Se Karen.

To Nahi Hai Tu Phir Ay Hussn-e-Saaz Bata.
Is Bhare Sheher Me Hum Jaise Mila Kis Se Karen.

To Ne Tu Apni Si Karni Thi So Kar Li Khawar.
Masla Ye Hai K Hum Is Ka Gila Kis Se Karen.........

Ay mery fann k paristaar tujhe kya maaloom_



Ay mery fann k paristaar tujhe kya maaloom_

Kitney Dukh Sahta Hay fankaar tujhe kya maaloom_
.
Kitni raaton ka Lahoo pee k Nekharti Hay Ghazal_

Kaisey Hum liktey Hain Ash'aar tujhe kya maaloom_
.
Raat Jb Jashn'E CharaGhaan me maghan thi Dunya_

Kon roya pas'E Deewaar tujhe kya maaloom_
.
Is Chaman me Hum Jesy Apni Feza kahtey Hain_

Saans lena B Hay Dishwaar tujhe kya maaloom_
.
Qadro Qeematt mery Dill Sokhta Armaanon ki_

Mery khushyon k khareeddar tujhe kya maaloom_
.
Too tamashaai Nae _ kheyl me Shaamil Hay maGer_

Tera Hay kon Sa kirdaar tujhe kya maaloom....

Jala Tha Hasrato me Ik Charag-E-Toor Mushkil Se.

Jala Tha Hasrato me Ik Charag-E-Toor Mushkil Se.
Mila Tha Zindagi Ka Ik Naya Dastoor Mushkil Se.

Tamannao K Soraj Ki Shuaaen Jab Hoi Roshan.
Kati Phir Aik Lambi Si Shab-E-Dejoor Mushkil Se.

Ye Kis Ne Us K Aage Rakh Diya Hai Naqsha Maazi Ka.
Jo Behlaya gya Tha Ik Dil-E-Ranjoor Mushkil Se.

Khilaf-E-Gairat-O-Sharm-O-Haya Jo Kuch B Nafiz hai.
Gawara Kar Rahe Hain Aaj Kal Gaiiyoor Mushkil Se.

Lagana Seekh Le gi Jab Chalange Kuch Bulandi Par.
Milenge Loomrri Ko Phir Kahin Angoor Mushkil Se.

Use Q Loatna Parrta Hai Wapis Apni Manzil Se.
Pohanchta Hai Musafir Jab K Itni Door Mushkil Se.

Use Phir Se Naye Teeron Ne Chalni Kar Diya Saaim.!
Hua Tha Mund'milt Barsoon me Jo Naasoor Mushkil se.......

Chor kar jana itna he zarori tha to kam az kam


Chor kar jana itna he zarori tha to kam az kam.



Apni yaadon ko bhe bewafai sikha jaty..

Mujh ko mayoosion ki daldal men,


Mujh ko mayoosion ki daldal men,

Tum ne jeene ka hosla bakhsha.

Zindagani Ka Sabak lay Phool Say,


Zindagani Ka Sabak lay Phool Say,

Daikh Uski Ibtada-o-Inteha.

Aesa lagta hai zindgii tum ho


Aesa lagta hai zindgii tum ho
Ajnabi jaisey ajnabi tum ho

Ab koi aarzu nahin baaqi
Justuju meri aaKhri tum ho

Main zameen par ghana andhera hoon
Aasmanoun ki chandni tum ho

Doston se wafa ki ummidain
Kis zamaney k aadami tum ho

Tuu rahegaa na tere zulm rahenge baaqii…


Tu rahegaa na tere zulm rahenge baaqi…

Din to aanaa hai kisi roz hisaabon vaalaa…

Maangein Gay Muqaddar Se Teri Zulf Ka Saaya,


Maangein Gay Muqaddar Se Teri Zulf Ka Saaya,

Phir Zulf K Saa'eY Main Basr Raat Karein Gy

Jab kabhii yaad aaye maazii ki..


Jab kabhi yaad aaye maazi ki..

Saath mujh ko bhi yaad kar lena.

Seekha tha dil se uski zaat mein rehna..

.

Seekha tha dil se uski zaat mein rehna..

Sikha diya us ki zaat ne okat mein rehna.. 

Ruk Gei Zindagi Bas Usi Morr Par


Ruk Gei Zindagi Bas Usi Morr Par
Tere Bin Youn hi Mosam Guzarte Rehe

Dil K Aangan Men Roti Rehi Hasraten
Aankh Zinda Rehi Khuwab Marte rehe

Jab Talak tu Meri Simt Chalta Raha
Puch kr Mujh Se Suraj Nikalta Raha

Tere Lehje ki Khushboo Me Bheege Hue
Chand Tare Mere Ghar Utarte Rehe

Aankh Me Chahton K Samundar Liye
Kitni Jaldi tu Mujh se Juda ho Geya.

Jane Wale,Tujhe Keya Khabr Hay k Ham.
Lamha Lamha
Tere Baad Marte Rehe.

Main Kab Ye Soch Sakta Tha...


Main Kab Ye Soch Sakta Tha...

Majboori Laakh Hon Lekin..
Rawaiya Kab Badlta Hai...
Tum Mujh Ko Chhorr Jaao Ge..
Main Kab Ye Soch Sakta Tha...

Zameen Zaade Hi Thay Phir Bhi...
Palat Kar Kisi Ko Na Dekha..
Magar Sab Kuch Luta Den Ge...
Main Kab Ye Soch Sakta Tha..

Teri Yaadon K Manzar Hi...
Mere Sab Khuwab Lootein Ge...
Mujhe Paagal Sa Kar Dein Ge...
Main Kab Ye Soch Sakta Tha...

Yahaan Jab Baadal Barsein Ge...
Meri Haalat Wo Badlein Ge...
Meri Aankhein Bheego Dein Ge...
Main Kab Ye Soch Sakta Tha...

Bichharr Jaana Muqadar Tha...
Bichharr K Chal Diye Thay Ham...
Ye Dil Phir Lout Jaaye Ga...
Main Kab Ye Soch Sakta Tha...

Fasana Chaar Lafzoon Ka...
Umar Ki Qaid Q Saajan..
Mile Gi Youn Saza Mujh Ko..
Main Kab Ye Soch Sakta Tha.. 

Hamare Saath Kiya Kiya Jhelta Woh..


Hamare Saath Kiya Kiya Jhelta Woh..

Bichar Kar Kitna Acha Reh Gaya Hai..

Mujhay Chhor To Nahi Jao Gay


Us Ne Kaha Mujhay Chhor To Nahi Jao Gay

Jawab Main Kia Du Sawal Hi Paida Nahi Hota..

Seekha tha dil se uski zaat mein rehna..


Seekha tha dil se uski zaat mein rehna..

Sikha diya us ki zaat ne okat mein rehna.

Sheikh 2 shopkeeper:

 Sheikh 2 shopkeeper: Bhai sahb 1 rupia ka Easy Load kardo 
Shopkeeper: 1 rupey ke load se kesi ko call karni hai ya msg 

Sheikh: Karna tu kuch bhi nahi 
Bus aisy hi paisy urany ki adat hai 

Hum khaali hath hi aaye thay


Har fard yahan par 
Taajir hay 
Har waqt Tijaarat hoti hay 
Tum ap hi apne Daam kaho 
Chhup k nahi Sar e aam kaho 

Kya lo ge Apni yari ka 
Kya lo ge tum Dildaari ka 
Ghum khuwar bano ge kitnay me 
Tum pyar karo ge kitnay me 

Sab jazbay mere Naam karo 
Hum naam Tum apna daam kaho 
Par daam chukaanay ki khatir 
Hum apna daftar kholein to 

Hum apni jaib tatolain to 
Bas pyar milay ga thora sa 
Aazaar milay ga thora sa 
Ye sikkay Yahan kab chaltay hain 
Kya udhaar milay ga thora sa 

Ye dunya Be aitbari ki 
Ye arz hay Har beyopari ki 
Chal chor tamanna 
Jazbon ki 
Hum khaali hath hi aaye thay 
Hum khali hath hi jayen gy.. 

Khanjar Se Karo Baat Na Talwaar Se Pucho


Khanjar Se Karo Baat Na Talwaar Se Pucho 
Main Qatal Hua Kese Mere Yaar Se Pucho 

Farz Apna Masiha Ne Ada Kar Diya Lekin 
Kis Tarha Kati Raat Ye Beemar Se Pucho 

Kuch Bhool Hui Hai To Saza Bhi Koi Hogi 
Sab Kuch Main Bata Doonga Zara Pyar Se Pucho 

Aankhon Ne To Chup Reh Ke Bhi Rudaad Suna Di 
Kyun Khul Na Sake Ye Lab E Izhaar Se Pucho 

Ronaq Hai Mere Ghar Main Tasavvur Hi Se Jiske 
Wo Kon Tha Rahi Dar 0 Deewar Se Pucho.. 

Mere Andar Chali Thi Aandhi Theek Osi Din Pat Jharr Ki..


Mere Andar Chali Thi Aandhi Theek Osi Din Pat Jharr Ki.. 

Jis Din Apne Jorray Mein Os Ne Kuch Phool Sajaaye Thay.. 

Iss Basti ke Ik koochey mein , Ik Inshah Naam ka Deewana.


Iss Basti ke Ik koochey mein ,
Ik Inshah Naam ka Deewana.

Ik naar pe jaan ko Har gaya ,

Mash'hoor hai uss ka afsaana.

Ab Tujh Say Kis Moonh Say Keh Dain 7 Samandar Paar Na Jaa…



Ab Tujh Say Kis Moonh Say Keh Dain 7
Samandar Paar Na Jaa…

Beech Ki Ik Deewaar Bhi Hum To Phaand Na



Paye, Dhaa Na Sakay

Wafa Ho Kar Jafa Ho Kar Haaya Ho Ho Kar Adaa Ho Kar,



Wafa Ho Kar Jafa Ho Kar Haaya Ho Ho Kar Adaa Ho Kar,
Samaye Wo Mere Dil Main Nahi Maloom Kya Ho Kar.*
.
Mera Kahna Yahi Hai Tu Na Rukhsat Ho Khafa Ho Kar,
Ab Agay Teri Marzi Jo Bhi Tera Mud'da Ho Kar.*
.
Na Wo Mehfil Na Wo Saqi Na Wo Sager Na Wo Bada,
Hamari Zindagi Ab Reh Gai Hai Bay Maza Ho Kar
.
MA'AAZ-ALLAH Ye Alam But'ton Ki Khud Numai Ka,
K Jaise Chaa Hi Jayaingay Khudai Par Khuda Ho Kar.*
.
Bahr Sorat Wo Dil Walon Say Dil Ko Cheen Lete Hai,
Machal Kar, Muskura Kar, Roth Kar, Tun Kar Khafa Ho Kar.*
.
Na Choro Sath Mera Hijar Ki Shab Dobty  Taaro,.
Na Phairo Mujh Sy Yun Ankhain Mere Ghum Ashna Ho Kar.*
.
Inhain Phr Kon Janchay Kon Tolay Ga Nigahon Main,
Agar Kantay Rahain Gulshan Main Pholon Say Juda Ho Kar.*
.
Mere Dil Nay Haseeno Main Maze Lotay Muhabt K,



Kabhi Is Par Fida Ho Kar Kabhi Us Par Fida ho kar

Mujh ko mayoosion ki daldal men,



Mujh ko mayoosion ki daldal men,




Tum ne jeene ka hosla bakhsha.

Zindagani Ka Sabak lay Phool Say,



Zindagani Ka Sabak lay Phool Say,


Daikh Uski Ibtada-o-Inteha.

Aesa lagta hai zindgii tum ho



Aesa lagta hai zindgii tum ho
Ajnabi jaisey ajnabi tum ho

Ab koi aarzu nahin baaqi
Justuju meri aaKhri tum ho

Main zameen par ghana andhera hoon
Aasmanoun ki chandni tum ho

Doston se wafa ki ummidain



Kis zamaney k aadami tum ho

Tuu rahegaa na tere zulm rahenge baaqii…


Tu rahegaa na tere zulm rahenge baaqi…


Din to aanaa hai kisi roz hisaabon vaalaa…

Maangein Gay Muqaddar Se Teri Zulf Ka Saaya,



Maangein Gay Muqaddar Se Teri Zulf Ka Saaya,




Phir Zulf K Saa'eY Main Basr Raat Karein Gy

Jab kabhii yaad aaye maazii ki..



Jab kabhi yaad aaye maazi ki..




Saath mujh ko bhi yaad kar lena.

Bus Ik raat mulaqat ka huwa waada.

 Bus Ik raat mulaqat ka huwa waada.


Bus Ik raat mulaqat ka huwa waada.

Wo din aur aaj ka din neend phir nahin aayi.

Isi Gumaan Nay Kabhi lotnay Diya Nah Mujhay,

 Isi Gumaan Nay Kabhi lotnay Diya Nah Mujhay,


Isi Gumaan Nay Kabhi lotnay Diya Nah
Mujhay,

Nah Janay Usko Mera Intezar Ho Kah Nah
Ho

Main Jo Din Ko Bhi Kahun Raat Woh Iqraar Karay

 Main Jo Din Ko Bhi Kahun Raat Woh Iqraar Karay


Main Jo Din Ko Bhi Kahun Raat Woh Iqraar
Karay

Mujh ko Hasrat Hai Koi Youn Bhi Mujhay Pyar
Karay

Mujhko Paanay K liye June K Rozay Rakhay . . .!!

Mujhko Paanay K liye June K Rozay
Rakhay . . .!!

Main Houn Deewana,Woh Deewanon Sa

Izhaar Kara