Jala Tha Hasrato me Ik Charag-E-Toor Mushkil Se.

Jala Tha Hasrato me Ik Charag-E-Toor Mushkil Se.
Mila Tha Zindagi Ka Ik Naya Dastoor Mushkil Se.

Tamannao K Soraj Ki Shuaaen Jab Hoi Roshan.
Kati Phir Aik Lambi Si Shab-E-Dejoor Mushkil Se.

Ye Kis Ne Us K Aage Rakh Diya Hai Naqsha Maazi Ka.
Jo Behlaya gya Tha Ik Dil-E-Ranjoor Mushkil Se.

Khilaf-E-Gairat-O-Sharm-O-Haya Jo Kuch B Nafiz hai.
Gawara Kar Rahe Hain Aaj Kal Gaiiyoor Mushkil Se.

Lagana Seekh Le gi Jab Chalange Kuch Bulandi Par.
Milenge Loomrri Ko Phir Kahin Angoor Mushkil Se.

Use Q Loatna Parrta Hai Wapis Apni Manzil Se.
Pohanchta Hai Musafir Jab K Itni Door Mushkil Se.

Use Phir Se Naye Teeron Ne Chalni Kar Diya Saaim.!
Hua Tha Mund'milt Barsoon me Jo Naasoor Mushkil se.......
Comments
0 Blogger Comments