Chand Lamhay Mujhay Apnay Khiyalon main Basanay ka Shukriya

Chand Lamhay Mujhay Apnay Khiyalon main Basanay ka Shukriya
Baar Baar phir mujhay Yaad Aanay ka Shukriya

Shukriya k Tum ne bulaya mujhay Piyar k Sath
Majboori keh kar phir Mehfil se Uthanay ka Shukriya

Shukriya k Chand din Tum Mairey Dil main rahay
Phir pehlay ki Tarha Is Dil ko Khali Chor Janay ka Shukria

Shukriya k Tum ne Mujhay Apnay Piyar k Qabil Samjha
Phir khud hi Piyar se Thukranay ka Shukriya

Shukriya k Zamanay ne Ham ko Milnay na Diya
Tera b Zamanay k Sath Mil Janay ka Shukriya...!
Comments
0 Blogger Comments