Ik Touhi Na Be-Chain Tha Pyare Shab-E-Hijraan






Ik Touhi Na Be-Chain Tha Pyare Shab-E-Hijraan
Ginta Raha Main B Stare Shab-E-Hijraan

Chunti Rahi Pal'Kon Se Utre Huye Aansoo,
Sunti Rahi Noohe Hamare Shab-E-Hijraan

Ae Zeesat Ye Manzar B To Ik Baar Dikha De,
Hanste Huye Koi To Guzare Shab-E-Hijraan,

Aabad Barre Dard Hain Is Dashat Mein Laikin,
Dil Hai K Bas Ik Tujh Ko Pukare Shab-E-Hijraan,

Ab Aur Koi Dhond Raha Hai Jo Taira Sath,
Hum Log To Is Khel Mein Hare Shab-E-Hijraan,

Shamsher Ajb Raat Hai Kaate Nahein KatTi,
Dukh Dard B Yaad Aate Hain Sare Shab-E-Hijraan,..
Comments
0 Blogger Comments