JAIZ hai uska Qatal hamary Hisaab se,






JAIZ hai uska Qatal hamary Hisaab se,
Jis ne Mohabbaton ko nikala Nisaab se

Tanqeed kar rahy hain Kitaab-e-Hayaat par,
Aagey na barh saky jo kabhi Intisaab se;

Main Sahib-e-Khabar bhi Nazar bhi Junoon bhi tha,
Jab tak raha tha Mera Taalluq Kitab se;

Uss Waqt aik Sajda barry kaam aa gaya,
Main jab guzar raha tha Anaa k Azaab se;

Mujh se bary bary thy Gunahgaar uss jaga,
Bekaar Dar raha tha Main Youm-e-Hisaab se;

Kaanton k Khauf se bhi Larazty ho Tum ArYaaN,
Aur Ghar bhi Chah'tey ho Sajaana Gulaab SE..
Comments
0 Blogger Comments