Abhi Muntashir Na Ho Ajnabi
Na Visaal Rutt K Karam Jata
Jo Teri Talash Mein Ghum Huey
Kabhi Un Dino Ka Hisaab Kar
Meray Sabar Par Koi Ajar Kiun
Meri Dopehar Par Yeh Abar Kiun
Mujhe Orrhney Day Aziyatein
Meri Aadatein Na Kharab Kar
Kaheen Aablon K Bhanwar Bachein
Kaheen Dhoop Roop Badan Sajein
Kabhi Dil Ko Thal Ka Mijaaz Day
Kabhi Chashm-E-Tar Ko Chanaab Day
Yeh Hujoom-E-Shehr-E-Sitam Garaan
Na Suney Ga Teri Sada Kabhi
Meri Hasraton Ko Sukhan Suna
Meri Khuwahishon Se Khitaab Kar
Yeh Juloos-E-Fasal-E-Bahaar Hai Tehi Dast-E-Yaar Saja Issay Koi Ashk Phir Se Sharar Bana Koi Zakham Phir Se Gulaab Kar. .
Na Visaal Rutt K Karam Jata
Jo Teri Talash Mein Ghum Huey
Kabhi Un Dino Ka Hisaab Kar
Meray Sabar Par Koi Ajar Kiun
Meri Dopehar Par Yeh Abar Kiun
Mujhe Orrhney Day Aziyatein
Meri Aadatein Na Kharab Kar
Kaheen Aablon K Bhanwar Bachein
Kaheen Dhoop Roop Badan Sajein
Kabhi Dil Ko Thal Ka Mijaaz Day
Kabhi Chashm-E-Tar Ko Chanaab Day
Yeh Hujoom-E-Shehr-E-Sitam Garaan
Na Suney Ga Teri Sada Kabhi
Meri Hasraton Ko Sukhan Suna
Meri Khuwahishon Se Khitaab Kar
Yeh Juloos-E-Fasal-E-Bahaar Hai Tehi Dast-E-Yaar Saja Issay Koi Ashk Phir Se Sharar Bana Koi Zakham Phir Se Gulaab Kar. .