Khuwab Ke Phoolon Ki Tabeeren Kahani Ho Gaeen,
Khoon Thanda Parr Gaya Aankhen Puraani Ho Gaeen.
Jiska Chehra Tha Chamaktey Mausamon Ki Aarzu,
Uski Tasweeren Bhi Auraaq-E-Khizani Ho Gaeen.
Dil Bhar Aaya Kaaghaz-E-Khali Ki Soorat Dekh Kar,
Jin Ko Likhna Tha Wo Sab Baaten Zubani Ho Gaeen.
Jo Muqaddar Tha Usay To Rokna Bas Mein Na Tha,
Unka Kya Karty Jo Baaten Na,gahaani Ho Gaeen.
Reh Gaya Dil Mein Rang-E-Yaad-E-Raftagaan,
Phool Mehangy Ho Gaye Qabren Puraani Ho Gaeen...,