Chaman Mein Aap Gharri Bhar Bhi Jo Theharte Hain,
To Rang Aata Hai Kaliyoon Pe, Gul Nikharte Hain,
Nazar Nazar Se Kabhi Qatal-e-Aam Hota Hai,
Nazar Nazar Se Muqaddar Kabhi Sanwarte Hain,
Shikast-o-Reekht Ka Maatam kabhi Nahi Kartey,
Khudi Ho Jin ki Tawaana Wo Phir Ubharte Hain,
Ruko Na Manzil-e-Maqsood Se Kaheen Pehley,
Hawaa Mein Urrtey Parinde Kahaan Theharte Hain,
Ajeeb Cheez Hai Insaan ka Dil Bhi,
Mitey Jo Aik Bhi Armaan To Sau Ubharte Hain......