Ujaaloon se bachaa kar khud ko zinda reh bhi sakta hai,

Ujaaloon se bachaa kar khud ko zinda reh bhi sakta hai, 
Charaghoon k talley shab bhar andheira reh bhi sakta hai, 

Guzar jis ka saraabon par raha ho dasht-e-imkaan mein, 
Yaqeenan abar k mausam mein piyaasa reh bhi sakta hai, 

Dar-o-deewaar mein tabdeel ghar to kar liya Tu ne, 
Ab is wehshat-kadey mein kiya akela reh bhi sakta hai ? 

kabhi mera safar dekho to shaayad ho yaqeen tum ko, 
K ho kar jazab ik sehraa mein dariya reh bhi sakta hai, 

Hamaarey tajrubey laazim nahi hai eik jaise hon, 
Jo mera reh nahi paaya, wo tera reh bhi sakta hai, 

Tu ho jaa muntaqil sehraa se ik dariya k saahil par, 
Nami ko jazab kar le ga to yakjaa reh bhi sakta hai, 

Agar bhar bhi de sooraj mera ghar shuaaoo'n se, 
Kisi posheedaa goshey mein andheira reh bhi sakta hai,,
Comments
0 Blogger Comments