Main Dharkanon Ki Kitaab Kholon Wo Baaqi Saare hisaab Rakhe,






Main Dharkanon Ki Kitaab Kholon Wo Baaqi Saare hisaab Rakhe,
Ye Us Ka Qissa Hai Dosto Main Ne Jis Ki Rah Pe Gulaab Rakhe,

Dimaagh Mera Pukaarta Tha Main Dil Ki Dharrkan Ko Sun Raha Tha,
Kisi Se Koi Gilla Nahi Main Ne Apne aage Saraab Rakhe,

Wo Ek Thokar Na Jaane Kitni Hi Kirchiyon Mein Chamak Rahi Hai,
Wo Ek Main Hoon Jis Ne Us K Behakte Qadmon Mein Khuwaab Rakhe,

Na Aise Saudey Karay Ga Koi Hum Aise Taajir Kaheen Mileen Gy,
Har Ek Sukh Us Ko De Diya Aur Khud Apne Ghar Azaab Rakhe,

Main Aur Meri Ajab Udaasi Taveel Muddat Se Is Tarah Hain,
Shareek-e-Gham Ek Doosre K Qareeb Bethey Sharaab Rakhe

1 comment: