Tarap Uthon Bhi Tu Zalim Teri Duhaai Na Don.

Tarap Uthon Bhi Tu Zalim Teri Duhaai Na Don.
Main Zakhm Zakham Hon Phir Bhi Tujhe Dekhai Na Don.

Tere Badan Me Dharkne Laga Hon Dil Ki Tarha.
Ye Aur Bat K Ab Bhi Tujhe Sunaai Na Don.

Khud Apne Aap Ko Parkha Tu Ye Nadamat Hai.
K Ab Kabhi Usay Ilzam-E-Bewafai Na Don.

Meri Baqa Hi Meri Khawahish-E-Gunah Me Hai,
Main Zindagi Ko Kabhi Zehr-E-Paarsai Na Don.

Jo Thann Gai Hai Tu Yari Pe Harf Kiun Aaye,
Hareef-E-Jaan Ko Kabhi Taan-E-Aashnai Na Don.

Mujhe Bhi Dhoond Kabhi Mehv-E-Aaina Daari.
Main Tera Aks Hon Lekin Tujhe Dekhai Na Don.

Ye Hosla Bhi Bar Bar Hai Shikast K Baad,
K Dosron Ko Tu Ilzam-E-Narsai Na Don.

FARAZ Dolat-E-Dil Hai Mata-E-Mehroomi,
Main Jaam-E-Jam K Evaz Kasa-E-Gadaai Na Don.

1 comment: