Aansoo Sad SMS, Shayri 2 Line, 4 Line Image Shayari


Aansoo urdu shayari Umer kati teri farqat mein bahaaty aanso
Yon ujry howey rahna meri aadat nikli...!!!




Aik lamhy mein mery mann ko bhigo deti hai
Uski har baat hi saawan ki tarha lagti hai...!!!




Buhat takleef deti hai na mery baatein tumahain
Dekh lena aik din mery na hony par 
meri khamosh muhabbat tumahain di sy rulaye gi...!!!





Jany meri aankhon sy kitny aanso bah gaye
Insano ki bheer mein bhi dekho tanha rah gaye
Katry they jo kabhi apni wafa ki baatein
Aaj wahi sanam mujhy bewafa kah gaye...!!!





Bikhry aanso ky moti ham piro na saky
Teri yaad mein sari raat so na saky
Bah na jaye aansoun mein tasveer meri
Bas yahi soch ky ham ro na saky...!!!





Hansny ki justajo mein dabaya jo dard ko
Aanso hamari aankh mein pathar ky ho gaye...!!!





Kami nahi hai kisi cheez ki magar
Akely baith ky roya hon zaar zaar bohat...!!!





Meri kalam sy lafz kho gaye shayad
Aaj wo bhi bewafa ho gaye shayad
Jab neend khuli to palkon mein paani tha
Mery khawab mujh py hi ro gaye shayad...!!!





Palkon mein aasno aur
dil mein dard soya hai,
Hansy walon ko kiya pata
rony wala kis qadar roya hai,
Ye to bas wahi jaan sakta hai
meri tanhayi ka aalam,
Jisny zindagi mein kisi ko
paany sy pahly khoya hai...!!!





Umer kati teri farqat mein bahaaty aanso

Yon ujry howey rahna meri aadat nikli...!!!
Comments
0 Blogger Comments