Mohabbat Kaanch Ka Sauda

Mohabbat Kaanch Ka Sauda 
Mohabbat Aag Ka Dariya 

Mohabbat June Jesi Hai, 
MOhabbat Barf Jesi Hai, 

MOhabbat Raat Kaali Hai, 
MOhabbat Neela MOusam Hai, 
MOhabbat Kacha Aangan Hai, 

Mohabbat Titliyon Ka Ghar ! 

Magar Phir Bhi !! 
MOhabbat HO Hi Jaati Hai ! 

Kisi Na Maloom Basti Se, 
Kisi Anjan Hasti Se, 
Kisi Kaghaz Ki Kashti Se, 

Kisi Khirki K Manzar Se, 
Kisi Dhundli Si Hasrat Se, 
Kisi JhOti Tasalli Se, 

Ye HO Hi Jaati Hai 
Mohabbat Ho Hi Jaati Hai 
Comments
0 Blogger Comments