Katta safar nahi hai har gam sochny se,

Katta safar nahi hai har gam sochny se, 
Milti kahan hai manzil anjaam sochny se. 

Koi bhi apny ghar se baahar qadam na rakhta, 
Hota agar jahaan me har kaam sochny se. 

Badly ga waqt yaaro himmat se kaam lena. 
haasil nahi hai kuch bhi har shaam sochny se. 

Chaaya hai jis gahri bhi tera khyaal mujh par. 
Dil ko sukoon aaya 
araam sochny se. 

Kehty hain ishq jis ko maangy luhoo jigar ka. 
Hota nahi hai mumkin yeh kaam sochny se. 

Be dard saaton me acha hai sabr karna, 
Jaaty kahan hain ZAHID aalaam sochny se.
Comments
0 Blogger Comments