Nigahon k Tasadum se ajab takraar karta hai...

Nigahon k Tasadum se ajab takraar karta hai... 
Yaqin kaamil nahe Lekin gumaan hai Pyar karta hai... 

Laraz jati hun Mein ye soch k kafir na ho jaon... 
Dil Us ki pooja pe bara israar karta hai.. 

Usay maloom hai shayad mera Dil hai nishanay par... 
Labon se kuch nahi kehta nazar se waar karta hai.. 

Mein Us se pochti hun khuwab mein, 
Mujh se Mohabbat hai.. 
Phir aankhain khol deti hun wo jab izhaar krta hai.. 
Parveen Shakir
Comments
0 Blogger Comments