Kitab-E-dil main jo nafrat ka bab rakhta tha,

Kitab-E-dil main jo nafrat ka bab rakhta tha,
Wo chahaton ka mokamal hisab rakhta tha,

Faraib daita raha dil lagi k pardon main,
Wo shakhs chahray pa kitnay niqab rakhta tha,

Us k hathon main pathar dikhai datay hain,
Jo apnay hathon main har dam gulab rakhta tha,

Wo shakhs jo bhatakta dikhai daita hai,
Rah-e-wafa main qadam kamiyab rakhta tha,

Kahan talash karon main us ko,
Jo apni bat main apna jawab rakhta tha...
Comments
0 Blogger Comments