Jo Na Badla Tha Kabhi Us Ko Badaltay Daikha

Jo Na Badla Tha Kabhi Us Ko Badaltay Daikha 
Gham Mujhe De K Ussay Haath Bhi Maltay Daikha 

Aaj Tak Mil Na Saki Shauq-o-Talab Ki Manzil 
Kab Se Duniya Ko Isi Raah Pe Chaltay Daikha 

Barrh K Ik Aur Zamaanay Ne Laga Di Thokar 
Jab Kisi Dard K Maaray Ko Sanbhaltay Daikha 

Aik Ik Mauj Pe Saahil Ko Rahi Us Ki Talaash 
Jis Ko Toofaan Ki Aaghosh Mein Paltay Daikha 

Jab Hansi Aayi Muqaddar Se Meray Hoonton Pe 
Aansuon Ko Bhi Usi Waqt Nikaltay Daikha 

Ru-Ba-Roo Un K Haya Wo Mera Josh-e-Girya 
Ik Samandar Tha Jo Aankho'n Se Ubaltay Daikha
Comments
0 Blogger Comments